Koi lamha b kabhi laut kar nahee aya
Woh shaks aisa gaya phir nazar nahee aya
garmii-e-shauq-e-nazzaaraa kaa asar to dekho
gul khile jaate hai.n vo saayaa-e-dar to dekho
aise naadaa.N to na the jaa.N se guzaranevaale
naasiho, rahabar-o-raahaguzar to dekho
vo to vo hai.n tumhe.n ho jaayegii ulfat mujhase
ek nazar tum meraa mahabuub-e-nazar to dekho
vo jo ab chaak garebaa.N bhii nahii.n karate hai.n
dekhanevaalo kabhii un kaa jigar to dekho
daaman-e-dard ko gulazaar banaa rakhaa hai
aao ek din dil-e-puraKhuu.N kaa hunar to dekho
subah kii tarah jhamakataa hai shab-e-Gam kaa ufaq
"Faiz" taabi.ndagii-e-diidaa-e-tar to dekho
aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
us ke baad aaye jo azaab aaye
baam-e-miinaa se maahataab utare
dast-e-saaqii me.n aaftaab aaye
is tarah apanii Khamashii guu.Njii
goyaa har simt se jawaab aaye
'Faiz' thii raah sar basar ma.nzil
ham jahaa.N pahu.Nche kaamayaab aaye
Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay
Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay
Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya
Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay
Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay
Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay
Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh
Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay
Koi To Baat Hia Us Main Faiz
Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay!!
Guloon mien Rang Bharay Bad-e-Nobahar Chalay
Chalay b aao Kay Gulshan ka Karobaar chalay
Qafas Udaas hai Yaaro !! Saba Se Kuch Tou Kaho
Kahien Tou Behr-e-Khuda Aaj Zikr-e-Yaar Chalay
Jo Hum Pay Guzri So Guzri Magar Shab-e-Hijraan
Humare Ashk Teri Aqbat sanwaar chalay
Muqaam Faiz koi Raah Mien Jacha hee Nahi
Jo koy-e-Yaar Se Nikle Tou Soy-e-Daar Chalay...
bahaar aa_ii to jaise ek baar
lauT aaye hai.n phir adam se
vo Khvaab saare, shabaab saare
jo tere ho.nTho.n pe mar miTe the
jo miT ke har baar phir jiiye the
nikhar gaye hai.n gulaab saare
jo terii yaado.n se mushk_buu hai.n
jo tere ushshaaq kaa lahuu hai.n
ubal pa.De hai.n azaab saare
malaal-e-ahavaal-e-dostaa.N bhii
Khumaar-e-aaGosh-e-mahavashaa.N bhii
Gubaar-e-Khaatir ke baab saare
tere hamaare
savaal saare, javaab saare
bahaar aa_ii to khul gaye hai.n
naye sire se hisaab saare
himat-e-iltija nahi baqi
zabt ka hosla nahi baqi
ik teri deid chin gayi mujh se
warna duniya mein kya nahi baqi
apni mashqe sitam se hath na kench
mein nahi yad-e-wafa nahi baqi
teri chishm-e-alam nawaz ki khair
dil mein koi gila nahi baqi
ho chuka khatam-e- ehad hijr-o-wisal
zindagi mein maza nahi baqi
Kash hum bezubaan hote,
Naa fir gham yun bayaan hote !!
Kash naa hoti zindagi ki samajh,
Naa fir yun afsaane jawaan hote !!
Kash naa khwahish hoti kuch paane ki,
Naa fir kuch khone k gham yahan hote !!
Gar tod jaata koi ashiyaaN humara,
Fir bhi khoobsurat saare samaan hote !!
Lut Jaati gar Roshni-e-zindagi,
Fir bhi andhere naa yahan hote !!
Toot-te hue bhi be-shubhaah hote !
Kash hum bezubaan hote !!
Kash hum bezubaan hote !!
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
Andaaz badal lena,awaaz badal lena
Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena
Mosaum jo naya aaye raftaar badal lena
Agyaar wohi rakhna aehbaab badal lena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
Rasty main agar milna nazron ko jhooka lena
Awaaz agar do to katra k nikal jana
Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karna
Jaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
Na Tuje Chor Saktay hain Tere ho bhi nhi saktay,
Ye Kesi Bebasi hy Ham ro bhi nhi saktay,
Ye Kesa Dard Hy Hmein Pal Pal Tarpaey Rakhta Hy,
Teri Yaad Aati Hy To Phr So Bhi Nhi Saktay,
Chupa Saktay Hain Na Dikha Saktay Hen Logon Ko,
Kuch Aesay Daagh Hain Dil Per Ham Dho Bhi Nhi Saktay.
Kaha To Tha Chor Deingay Ye Nagar Phr Ruk Gaey Lakin,
Tumhein Paa To Nhi Saktay Lakin Kho Bhi Nhi Saktay.
Hmara Aik Hona Bhi Nhi Mumkin Raha Ab To,
Jein Kesay Keh Tum Se Door Reh Bhi Nhi Saktay.