!!!mere saath tum bhi dua kero!!!!
Mery sath tum b dua karo,you ksi k huq mien bura na ho
kahi or ho na yeh hadsa koi raasty mie juda na ho
sar.e.shaam tahri hoe zamee jaha asma ho jhuka hoa
usi morh pay mery wasty wo chiragh lay k khara na ho
meri chat say raat ki saij tak koi ansoon ki lakeer hay
zara barh k chand say pochna wo isi taraf say gaya na ho
ISI AHTIYAT MIEN WO RAHA ISI AHTIYAT MIE MIEN RAHI
WO KAHA KAHA MERY SATH HAY KISI OR KO YEH PATA NA HO
wo firak ho k wesal ho teri aag mahkay gi eik din
wo gulab ban k khilay ga kiya jo charagh ban k jala na ho
Veeran sa ujra sa tanha baitha koi
Kal raat akailay main
Shaid kuch wark jala raha tha
Uthtay huay sholoo main khud b
Aik shola nazar aa rha tha
Jhatak raha tha sir wo
Aansoo baha rha tha
Aasay main kise nay guzartay huay pocha
Pagal... Kittab jala rhay ho
Tarap kar wo bola nahee
"Khawaab Jala Rha Hon"
Meray honay ki dalil
Sach yeh hi hai..tu meri
Kisi takhleek kay be missal hunar se mehroom
Zard si kaukh ka hissa to nahiin hai laikn
Teray hi lams kay masoom tuqadas kay tufeel
Main en maaon kay tafakhar ka sukon paaya hai
Soch ne ik naya ndaaz-e- namon paaya hai
Main juda tujh se hui tu yub mehsoos hua
Kay meri maan bhi mujh se yun bichar jaanay per
Raaat bhar kaise tarapti hogi
Bat be baat pe sisakti hogi
Uska aanchal bhi sitaaron kay talay
Meri tauqer ki khawahish kartay
Subah tak phaila hi rehta hoga
Who bhi tu meri tarhan!
Apni beti kay mqadar kay liye
Kabhi mehtaab kabhi jugnoo se
Roshni mangti hogii
Mujhko bhi teray har ik khawab ko paanay ki talab ne beti!
Aaj yehj wasaf dua sikhlaya
Kis ko khte hain wafa samjhaya
Meri beti
Meri tazeen-e-haya
Tu na hoti tu kahan yeh bheed khulta mujh per
Kyun meray pyaaray nabi(s.a.w)saeedna
Apni beti kay liye chasham-e-rah rehte the
Jab mulaaqaat ko who aati thi
Chandni jaisi dua dete the
Aur takreem-o-pazeerayi ko
Apni sau rehmaton waali kamli
Aisi dharti pe bicha dete the
Aasmaan jaisay meherbaan hua karta tha
Meri beti!
Meray rab ki tasweer
Tera is rooh setazeem ka rishta bhi
Ajab rishta ha
ithkaliyan karna hawa se
Kabhi tilti ki khawahish main machalna
Humein bhi raas aata jaa raha hai
Tumharay ghum ki bahon main sambhalna
jaisay koi khushbouon ka raqs jaaga hai
Sunheri titliyaan phir se gulaabon kay labon ko choo kar aayi hain
Darakhton ki khuli banhon main saye baat kartay hain
Udaasi ashak ankhon main liye ab door nikli
Isi dhaltay hue din ki mundeeron per
Chiraagh-e-shaam jalta hai
Tu dast-e-meherbaan jaise..
Meray aanchal kay konay se wafa ka aik lamha bandh deta hai
Meray sehen-e-hunar main hurf-o- maani ki talaawat saans leti hai
Koi roshan sitarah aasmaan per muskuraata hai
Samander geet gaata hai
Kamala-e-ahd-e-masti hai
Jahaan pe mausam-e-jaan bhi hairaan lagta hai
Koi chehra meray dil kay badan se aan lagta hai
Yeh hi chupkay se kehta hai
Mujhay tumse mohabbat hai
Mujhay tumse mohabbat hai
tanha ho jaati hain
Dard ka sehra ho jaati hain
Dil ka kya hai dil ki baatein
Aksar ruswaa ho jaati hain
Tu hota hai laiken shaamein
Kaisay tanha ho jaati hain
Teray bin yeh chandni raatein
Ghum ka naksha ho jaati hain
Asal ki janib laut kay akhir
Naslein ik ja ho jaati hain
Kyun har baar safar ki shamein
Tera chehra ho jaati hain
awara kehne walon
Kabhi tu socho kabhi tu likho
Hawayein kyun apni manzilon se bhatak gayi hain
Na unki aankhon main khawab koi
Na khawb main intezaar koi
Ab unkay saaray safar main subhay yaqeen koi
Na shaam-e-sada aitbar koi
Na unki apni zameen koi na aasman per koi sitarah
Na koi mausam na khushboo ka istaara
Na roshni ki lakeer koi na unka apna safer koi
Jo unkay dukh per kitaab likhay
Musafirat ka azaab likhay
Hawa ko awaara kehnay walon
kabhi tu socho!
aseeri se rehayi mangtay rehna
Buhut asaan nahiin hota judayi mangtay rehna
Zara sa ishq karlena zara si aankh bhar lena
Phir us kay baab main saari khudayi maangtay rehna
Kabhi mehroom honton per dua ka hurf rakh dena
Kabhi wehshat main uski narsayi mangtay rehna
Wafaon kay tasalsal se mohabbat ruth jaati hai
Kahaani main zara si bay wafayi mangtay rehna
Ajab hai wehshat-e-jaan bhi kay adat ho gayi dil ki
Sukoot-e-sham-e-ghum se hum navayi mangtay rehna
Kabhi bachay ka nanhe haath per titli kay per rakhna
Kabhi phir us kay rangon say rehayi mangtay rehna
jazbay badaltay ja rahay hain
Kay jaisay khawab martay ja rahay hain
Koi dil kay liye dil kay makin ko
Nazar andaaz kartay ja rahay hain
Jo dil ka haal hai dil jaanta hai
Bazahir tu sambhaltay ja rahay hain
Chalay tu hain tumharay sheher say hum
Kaaf-e-afsos maltay ja rahay hain
Kabhi jin main guroor-e-tazgi tha
Who khado khaal dhaltay ja rahay hain
kabhii-kabhii yaad meN ubharte haiN naqsh-e-maazii miTe-miTe se
vo aazmaaiish dil-o-nazar kii, vo qurbateN sii, vo faasile se
kabhii-kabhii aarzuu ke sehraa meN aa ke rukte haiN qaafile se
vo saarii baateN lagaao kii sii, vo saare unvaaN visaal ke se
nigah-e-yaar ko qaraar kaisaa, nishaat-o-Gham meN kamii kahaaN kii
vo jab milte haiN to unse har baar kii hai ulfat naye sire se
bahut giraaN hai ye aish-e-tanhaa, kahiiN sabuktar, kahiiN gavaaraa
vo dard-e-pinhaaN ke saarii duniyaa rafiiq thii jiske vaaste se
tumhiiN kaho rind-e-mustahib meN ho aaj shab kaun farq aisaa
ye aa ke baiThe haiN mai-kade meN, vo uTh ke aaye haiN mai-qade se