Sar sey paao tak woh Ghulaboon ka shajar lagta hay
Bawazoo ho k bi chooney sey dar lagta hay
Main tery sath sitaroon sey guzar sakta hun
Kitnaa aasaan Muhabat ka safar lagta hay
Mujh mein rehta hay woh dushmaan jaan mera
Khud sey tanhaai mein miltey huwey bi daar lagta hay
Buuth bi rakhey hain Namazain bi aada hotin hain
Dil mera Dil nehi ALLAH ka ghar lagta hay
Zindgi tu ney mujhy Qabar sey kam di hay zameen
Paoo phailaun toh diwar ko sar lagta hay
Phir Chand Khila
Phir Raat Thami
phir Dil Ne Kaha
Hai Teri kami
Phir Yaado'n K Jhonkey Mehk Gaye
Phir Dil k Armaa'n Behk Gaye
Phir Jannat c Lagti hai Zamee'n
Phir Dil Ne Kaha
Hai Teri Kami
Phir Guzray Lamho'n Ki Baaten
Phir Jagi Jagi c Raaten
Phir Theher Gai Palko'n Pe Nami
Phir Dil na Kaha
Hai Teri Kami
HamaiN Barbad Kar Dala Teri AankhoN Ki Masti Ney...
HazaroN Saal Jee Laitay Jo Tujh Sey Pyaar Na Kartay....!!
apni dhun main rahta hun
main bhi tere jaisa hun
o pichli rut k sathi
ab k baras main tanha hun
teri gali main sara din
dukh k kankar chunta hun
mujh se ankh milaye kaun
main tera aina hun
mera diya jalaye kaun
main tera khali kamra hun
tu jiwan ki bhari gali
main jangal ka rasta hun
apni lahar hai apna rog
dariya hun aur pyasa hun
ati rut mujhe royegi
jati rut ka jhonka hun
baray anjaan mousam main
bohot berang lamhon main,
bina aahat bina dastak
bohot masoom sa sapna
utar aaya hay aankho main
bina soochey bina samjhay,
kaha hay dil ne chupke se,
haan is masoom sapnay ko,
aankho main jagha de do!
bina roke bina bole
jhuka diya hay sar hum ne!
magar tabeer kya hogi,
ye hum janey na dil janey
bus maloom hay itna...
k dil k faislay aksar
"humain kam raas aaye hain"
Mat Cheen Apna Naam Mere Lab Se Is Tarah
Is Be Naam Zindagi Mein Tera Naam Hi To Hai
raaz kii baaten likhii aur Khat khulaa rahane diyaa
jaane kyon rusavaiion kaa silasilaa rahane diyaa
umr bhar mere saath rahakar vo na samajhaa dil kii baat
do dilon ke daramiyan ik fasala rahane diyaa
apanii fitarat vo badal paayaa na isake bavajuud
Khatm kii ranjish magar gilaa rahane diyaa
main samajhata tha Khushii degii mujhe "Sabir" fareb
is liye main ne Gamon se raabataa rahane diyaa
itane dinon ke baad tuu aayaa hai aaj
sochataa hun kis tarah tujh se milun
mere andar jaag uthii ik chandanii
main zamiin se aasaman tak ek ang hun
aur ujalaa ho gayaa qurbat kaa chand
aur gaharaa ho gayaa teraa fusun
ai saraapaa rang-o-nikahat tuu bataa
kis dhanak se teraa pairaahan bunun
saare gul_buute tar-o-taazaa hue
duur tak pahunchii hai merii mauj-e-Khun
kar rahe hain lamhe lamhe kaa hisaab
mil ke phir baiThe hain yaaraan-e-junun
dasht-e-Gam kii dhuup mein mujh par khulaa
main Khud apanaa saayaa-e-diivaar hun
naaz kar Khud par ki tuu hai beshumaar
qadr kar merii ki main bas ek hun
tere jesa mera bhi haal tha na sukoon tha na qarar tha
ye ho umr thee mere humnahen ke kisi ko mujh se bhi pyar tha
mein samajh raha hon teri kasak tera mera dard hai mushtarak
isi gam ka to bhi aseer hai isi gam ka mein bhi shikar tha
faqat ek dhun thee ke raat din isi khawab zaar mein gum rahen
wo surror aisa surror tha wo khumar aisa khumar tha
kabhi lamha bhar ki guftugo meri os ke sath na ho saki
mujhe fursaten na mil saken wo hawa ke rath pe sawar tha
hum ajeeb tarz ke log thai hamare aur hi rog thai
mein khizan mein tha os ka muntazir ose intezar bahar tha
ose parh ke tum na samajh sake ke meri kitab ke roop mein
koi qarz tha kaii roz ka kaii ratjagon ka odhar tha
samay samay kii Khalish mein teraa malaal rahe
judaaiiyon mein bhii yun aalam-e-visaal rahe
anaa kii jang mein ham jiit to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak nidhaal rahe
raah-e junun mein yahii zaad-e-raah hotaa hai
ke justajuu bare divaanagii bahaal rahe
hasiin raaten bhii mahaken tumhaarii yaadon se
kare dinon mein bhii pal pal teraa Khayaal rahe
tuu ek baar zaraa kishtiyan jalaa to sahii
hai kyaa majaal ke ek lamhaa bhii zavaal rahe