Urdu Poetry Collection at Urdu Poetry/Shayari Forum

i Urdu Poetry


Funny Urdu Poetry| Sad Urdu Poetry| Urdu Shayari| Romantic Urdu Poetry| Urdu Love Poetry| Hindi Urdu Poetry


Urdu Shayari

Funny Urdu/ Hindi Shayari

 

Khaamoshii Khud apanii sadaa ho aisaa bhii ho sakataa hai
sannaaTaa hii guu.Nj rahaa ho aisaa bhii ho sakataa hai

meraa maazii mujh se bichha.D kar kyaa jaane kis haal me.n hai
merii tarah vo bhii tanhaa ho aisaa bhii ho sakataa hai

saharaa saharaa kab tak mai.n Dhuu.NDhuu.N ulfat kaa ek aalam
aalam aalam ik saharaa ho aisaa bhii ho sakataa hai

ahl-e-tuufaa.N soch rahe hai.n saahil Duubaa jaataa hai
Khud un kaa dil Duub rahaa ho aisaa bhii ho sakataa hai
Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do
May 24, 2009 Author: admin | Filed under: Urdu Ghazal

Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do

Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do

Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do

Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do

Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum
Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do

* 2 Comments

shaam ho jaam ho subuu bhii ho tujh ko paane kii justajuu bhii ho
May 17, 2009 Author: admin | Filed under: Ibrahim Zauq, Zameer Kazmi

shaam ho jaam ho subuu bhii ho
tujh ko paane kii justajuu bhii ho

dil se dil kii kahaaniyaa.N bhii sune
aa.Nkho.n aa.Nkho.n me.n guftaguu bhii ho

jhiil sii gaharii sabz aa.Nkho.n me.n
Duub jaane kii aarazuu bhii ho

sirf tere badan kii shamaa jale
aur a.Ndheraa-saa chaar_suu bhii ho

* 0 Comments

aa.Nkhe.n merii talavo.n se mal jaaye to achchhaa hai hasrat-e-paa-bos nikal jaaye
May 17, 2009 Author: admin | Filed under: Ibrahim Zauq

aa.Nkhe.n merii talavo.n se mal jaaye to achchhaa
hai hasrat-e-paa-bos nikal jaaye to achchhaa

[paa-bos=kissing the feet;]

jo chashm ke be-nam ho.n, vo ho kor to bahatar
jo dil ke ho be-daaG, vo jal jaaye to achchhaa

[kor=sightless;]

furqat me.n terii taar-e-nafas siine me.n mere
kaa.NTaa saa khaTakataa hai, nikal jaaye to achchhaa

[furqat=separation; taar-e-nafas=here it implies pain like needles pricking]

vo subah ko aaye to karuu.N baate.n mai.n do-pahar
aur chaahuu.N ke din tho.Daa sa Dhal jaaye to achchhaa

Dhal jaaye jo din bhii to isii tarah karuu.N shaam
aur chaahuu.N ke gar aaj se kal jaaye to achchhaa

jab kal ho to phir vahii karuu.N kal kii tarah se
gar aaj ka din bhii yuu.N hii Tal jaaye to achchhaa

al-qissaa nahii.n chaahataa mai.n, jaaye vo yaa.N se
dil usakaa yahii.n garache bahal jaaye to achchhaa

[al-qissaa= in short]

* 0 Comments

munsifo.n saliibo.n par faisale nahii.n hote besabab baGaavat ke saanahe nahii.n hote
May 17, 2009 Author: admin | Filed under: Zakia Ghazal

munsifo.n saliibo.n par faisale nahii.n hote
besabab baGaavat ke saanahe nahii.n hote

jhuuTh aur sadaaqat kii jang to azal se hai
phir bhii sach pe jiine ke hausale nahii.n hote

soch ke judaa honaa phir ke mil na paaye.nge
kyo.n ke is zamaane me.n mojeze nahii.n hote

jo bhii the gile shikave duur kar ke jaanaa thaa
kam se kam bichha.Dane par dil bure nahii.n hote

chaa.Nd se kahaa ham ne tum hii raat bhar jaago
ham se us kii yaado.n me.n rat_jage nahii.n hote
shaam ho jaam ho subuu bhii ho
tujh ko paane kii justajuu bhii ho

dil se dil kii kahaaniyaa.N bhii sune
aa.Nkho.n aa.Nkho.n me.n guftaguu bhii ho

jhiil sii gaharii sabz aa.Nkho.n me.n
Duub jaane kii aarazuu bhii ho

sirf tere badan kii shamaa jale
aur a.Ndheraa-saa chaar_suu bhii ho
Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do

Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do

Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do

Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do

Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum
Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do
tum ne sun liya hoga
chahatoun k mousam main
zakham jo bhi lag jaye
umer bhar nahi silta
tum ne sun liya hoga
sheher ki hawaon se
wo jo ik deewana
aatay jaatay rahi ko
raastoun main milta tha
ab kaheen nahi milta
jab se us ne shahar ko chho.Daa har rastaa sun_saan huaa
apanaa kyaa hai saare shahar kaa ik jaisaa nukasaan huaa

mere haal pe hairat kaisii dard ke tanhaa mausam me.n
patthar bhii ro pa.Date hai.n i.nsaan to phir i.nsaan huaa

us ke zaKhm chhupaa kar rakhiye Khud us shaKhs kii nazaro.n se
us se kaisaa shikavaa kiije vo to abhii naadaan huaa

yuu.N bhii kam aamez thaa "Mohsin" vo is shahar ke logo.n me.n
lekin mere saamane aakar aur hii kuchh anjaam hua
Uss Zakhm-e-Jaa'n ke Naam , jo ab tak nahi Bhara
Uss Zinda Dil ke Naam , Jo Ab Tak Nahi Mara
Uss Zindegi ke Naam , Guzaara Nahi Jisey
Uss Qarz-e-Fun ke Naam , Utaara Nahi Jisey
Ahl-e-Nazar ke Naam , jo Johar Shanaas hain
Ahl-e-Wafa ke Naam , Jo Fun ki Asaan Hain
Unn Dostoo'n ke Naam , Jo Gosha Nasheen Hain
Unn Be-Hissoo'n ke Naam , Jo Baar-e-Zameen Hain
Unn Bediloo'n ke Naam , Jo Har Dam Malool Hain
Unn Bebasoo'n ke Naam , Jo Gamloo'n ke Phool Hain
Unn Ahl-e-Dil ka Naam Jo Raahoo'n ki Dhool Hain
Unn Hosloo'n ke Naam , Jinhein Dukh Qabool Hain
Uss Shola-Rukh ke Naam ke Roshan hai Jis Se Raat
Hai Zofishaa'n Andherey mein Har Nuqta-e-Kitaab
Aur Husn-e-Baa-Kamaal ki Raanaa'yioo'n ke Naam !
Aur Apney Zehn-o-Qal'b ki Tanhaaiyoo'n ki Naam
hijer mousam main ye baarish ka barasna kaisa
ik sehra se samundar ka guzarna kaisa

aye mere dil na pareshaan ho tanha ho kar
wo tere saath chala kab tha bicharna kaisa

loug to kehtay hain gulshan ki tabahi deakho
main to weraan sa jungle tha ujarna kaisa

deakhnay main to koi dard nahi dukh bhi nahi
phir ye aankho main youn ashkoun ka ubharna kaisa

bewafa kehnay ki bhi jurrat na karna lougon
us ne iqraar kiya kab tha mukarna kaisa
pas-e-marg mere mazaar par jo chiraaG kisii ne jalaa diyaa
use aah daaman-e-baad ne sare shaam hii se bujhaa diyaa

mujhe dafan karnaa tuu jis ghari to ye us se kahanaa ki ai parii
vo jo teraa aashiq-e-zaar thaa tah-e-Khaak use dabaa diyaa

dam-e-Gusl se mere peshtar use ham_damo.n ne ye soch kar
kahii.n jaave us kaa na dil dahal merii laash par se haTaa diyaa

merii aa.Nkh jhapakii thii ek pal mere dil ne chaahaa ki uTh ke chal
dil-e-beqaraar ne o miyaa.N vahii.n chuTakii leke jagaa diyaa

zaraa un kii shoKhii to dekhiye liye zulf-e-Kham_shudaa haath me.n
mere piichhe aaye dabe-dabe mujhe saa.Np kah ke Daraa diyaa

mai.n ne dil diyaa mai.n ne jaa.N dii magar aah! tuune na qadr kii
kisii baat ko jo kahaa kabhii use chuTakiyo.n me.n u.Daa diyaa
U he nahi hain ye eeza pasandiyan apni
hum us k gham se khushi bhe kasheed kartay hain

urdupoetry.com, hallagulla.com, urdumaza.com, urdupoint.com, besturdupoetry.com
urdupoet.net, shairy.com, poetryguru.com, shaairy.com, urdupoetry.org,