Jo Meri aankhon se Khuwab dekho
To Aik shab bhi na So sako Gay
K Laakh Chaho Na Hans sako gay
Hazaar chaho na Ro Sako gay’
K Khuwab kya hain Azaab Hain yeh
Mere Dukhon ki kitaab hain yeh
Rifaqatain In main Chotti hain
Mohabbatain in main Roothti hain
Pinapti Hain In main Vahshatain see
Aziatain In main Photti hain
Un hi ke Dar se Khizaan Hain Jazbay
Un hi se shakhain see tot’ti hain
Ghamon ki Bandish hain Khuaab mere
Ahal Raha hai Dukhon ka Lava
Rahen Aatish hain khuwab Mere
Khayal sare Jhulaas gay hain
Sulagti Khuahish hain khuaab Mere
Ukharrti Sansain hain Zindagi ki
Lahu ki Sazish hain Khuaab Mere
Jo Meri aankhon se Khuaab dekho
To Aik shab bhi na So sako Gay!
kahin bebasi ka maqam ho
kabhi ratjagon ki jo shaam ho
koyi mor dilki lagi ka ho
kahin dil ke tutne ki ho kirchyain
jahan mil ke howe thai ham juda
ussi maqam pe kabhi ao milen
Ke lamha lamha palon me
kabhi jo beeti thi zindagi
usse hurf hurf bayan karen
Jo darya bahaya tha hijr me
ik dusre ki fiker me
usse qatra qatra jama karen
Jo bikher gayi hai hijr me
Ussi reza reza zaat ko
kabhi tum chuno kabhi ham chunen
zara thehro!
k suraj ko to jane do
pirandon ko to urne do
zara to shaam dhalne do
abhi to aasman ka rang nikhre ga
abhi khusboo bhi bikhre gi
abhi mausam bhi badle ga
abhi to chand nikle ga
abhi manzar badalne mein zara si dair baaqi hai
abhi dil k sanbhalne mein zara si dair baaqi hai
chale jana!
abhi do char pal, do char saddiyaan saath rehne do
zara to shaam dhalne do............thehar jao
yeh kin sawalon ki kirchian hein
udaas aankhon ke farsh par jo bikhar rahi hein
yeh soyi jaagi nidhaal aankhein
taweel raston ki khoj mein hein
zaeef mausum har ik sukhan ke
lahoo mein gardish naseeb saaey hein waahimon ke
jinhein abhi tuk suraagh dil ka mila nahin hai
kinaar waada woh phool ub tuk khila nahin hai
hazaar lehjey hein justujoo mein
magar yeh baaton mein dhund kia hai
azal abad ka yeh dasht-o-sehra
yeh bhed kia hai, yeh bhaao kia hai
abad ki baaton ke khar-o-khas mein
azal se pehley ki sa’aton mein
hum apney chehrey ko dekhtey hein
humein tu khwaahish ki aahaton par
nazar jhukaati hui hawa se yeh poochna hai
keh waqt ki rehguzar mein ub safar ki kis intiha pe hum hein
yeh khwaab kis neend ka badan hai?
yeh zindagi ka bahaao kia hai?
USI AJNABI KA KHAYAL HAY"
Mila mil k koi bichar gaya
Rag-e-ja'n mein jaisay utar gaya
Bina jis k jina muhal hay
usi ajnabi ka khayal hay.......
Meray din aur raat badal gaya
Meri kainat badal gaya
Mera aaj jaisa bhi haal hay
Usi ajnabi ka khayal hay.....
Meri sham-e-gham mein shareek tha
Meri chashm-e-nam mein shareek tha
Meray hoslo'n ki misal hay
Usi ajnabi ka khayal hay......
bara kathin hy raasta jo aasako tu saath do
ye zindagi ka faasla mitta sako tu saath do
barey faraib khao gey barey sitam uthao gey
ye umar bhar ka sath hy nibha sako tu saath do
jo tum kaho tu ye dil kiya main jaan b fida karon
jo main kahon tu bas ek nazar lutaa sako tu sath do
hazaar imtihaan yahaan hazaar aazmaishen
hazaar dukh hazaar gum utha sako tu saath do
ye zindagi yahaan khushi gamoon k sath sath hy
rula sako tu saath do haansa sako tu saath do
kisi ka dard amanat hai merey siine mai
k jaisey wus'atey darya miley safine mai
khabar nahii k mere shair kia mera funn kia
ik aag hai k jo dhalti hai aab-geene mai
baras tamam huwa aur umr baaqii hai
juda huwe thai wo mujhsey isii mahine mai
tere khayal se rag rag dukhi hui hai merii
ajab tarah ki kami reh gayee hai jiine mai
mera ye haal tera zikr sunn k you'n chup hoo'n
shu'aayain dafn ho jaisey kisii nagiiney mai
tamam gham hoo'n,DOST mujhe sehl matt jano
kati hai umr meri zabt k qareene mai
Haqiqato`n pe he duniya ko aiteraaz Buhat,,
K he Mizaaj e zamana, Fasana saaz Buhat,,
Tera Gharoor e Ebadat tujhey na le Doobey,,?
Suna he parhta tha IBLEES bhi Namaaz Buhat,,
Ye keh rahy thy kal Awargaan e koocha e Yaar,,
Adaayein aaj bhi hen uski DilNawaaz buhat,,
Unhein Shaoor e Muhabat nhi Khuda ki Qasam,,
Jo log hen teri Mehfil men SarFaraaz Buhat,,
Meri khushi ka Zamana hawa ka jhonka tha,,
Mery ghamo ki rhi Zindagi Daraaz Buhat,,
churaaey phirtey they jo tujh sey hi nazrein aksar
unhi nazroo’n ko … teri deed ko … tarastey dekha,
wo jo kehtey they … tera aks nahi un aankhoon mey
unhi aankhoon ko … teri yaad mey … barastey dekha,
dil key derwaazey jinkey her dastak pey waa hotey they
unhi key dil ko … sirf teray leye … ab dharaktey dekha,
dabi dabi si chingaari sey bhi ... jo naa'laa'n they
phir ishaq ka shola ... unkey ander bharaktey dekha
Tujhay milna ho aksar to ,main jana'n dhoondh leta hu'n
Kaha'n chup pao gay mujh se rouzana dhoondh leta hu'n
Main tanhai me'n aksar ab tumhari baate'n karta hu'n
Tumhai'n jab yaad karna ho bahana dhoondh leta hu'n
Mian apnay ap se mil kar hu'n ro leta, agar gham ho
koi jab mil nahi pata,ye shana dhoondh leta hu'n
Wo oujhal ha inn ankho'n se, kaha'n dhoondho gay ab usko
Main dil me'n jhaank leta hu'n,thikana dhoondh leta hu'n
Rumaan aksar baharo'n me'n, terey gham jab satatay ha'n
Main ghar se phr nikalta hu'n, werana dhoondh leta hu'n