Har ek rooh main ek ghum chupa lagay hai mujhay
ye zindagi tu koe bad-dua lagay hai mujhay
jo aansoun main kabhi raat bheeg jati hai
bohat qareeb wo aawaaz-e-pa lagay hai mujhay
main so bhe jaoun tu kia meri band aankhoun main
tamaam raat koe jhaankta lagay hai mujhay
main jub bhe us k khayaloun main kho sa jata hon
wo khud bhe baat karay tu boda lagay hai mujhay
daba k aae hai senay main kaun se aahain
kuch aaj rang tera sanwala lagay hai mujhay
na janay wqt ki raftaar kia dekhati hai
kabi kabi tu bada khouf sa lagay hai mujhay
bikhar gaya hai kuch es tarha aadmi ka wajood
har eak fard koe saaneha lagay hai mujhay
ab eak aadh qadam ka hisaab kia rakhiye
abhi talak tu wohi faasla lagay hai mujhay
hikayat-e-ghum-e-dil kuch kashish tu rakhti hai
zamana ghour se sunta hoa lagay hai mujhay Share
HAr WaQt ULjHnA MujHE AcHA NaHi LaGta
Be'kaAr TamAsHA MujHE AcHA NaHi LaGta
sOcHA THa UsSe cHoOr k KHusH ReHNe LaGEin GaY
pAr ABH SarA ZamAnA MujHE AcHA NaHi LaGta
NaFraT BHi MujHE UsS sE MusaLsaL NaHi ReHTi
Apna YeH RawAiyA MujHE AcHA NaHi LaGta
Ek Umr Ki kOsHisH Meri Be'kaAr GaYi HAi
YeH Umr kA HisSa MujHE AcHA NaHi LaGta
wO sHaKHs K jO MerA Apna BHi NaHi HAi
Ho JayE KiSi Aur kA MujHE AcHA NaHi LaGta
Jugnoo , gohar , charagh , ujalay tu day gia
Wo khud ko dhondhnay k hawalay tu day gia
Ab uss say barh k kia ho varasat faqeer ki
bachooN ko apni bheek kay piyalay tu day gia
ab meri soch saye ki sorat hay uss k gird
main bujh kay apnay chand ko halay tu day gia
shayed k fasl-e-sang zani kuch kareeb hay
wo khelnay ko barf k galay tu day gia
ahl-e-talab pay uss k lye farz hay duaa
kheraat mein chand nawalay tu day gia
Mohsin usay qaba ki zarorat na thee magar
Dunia ko Rozo shab kay doshalay tu day
Umeed-o-bem ke mehwar se hutt ke dekhte hain
Zara sii der ko duniya se kutt ke dekhte hain
Bikhar chuke hain bohat baagh-o-dasht-o-dariya
Ab apne hujra-e-jaan main simat ke dekhte hain
Tamaam khaana-badoshon main mushtarik hai ye baat
Sab apne apne gharon ko palat ke dekhte hain
Phir uss ke baad jo hona hai ho rahe sar-e-dasht
Basaat-e-aafiyat-e-jaan ulat ke dekhte hain
Wahii hai khawaab jise mil ke sab ne dekha thaa
Ab apne apne qabeelon main butt ke dekhte hain
Suna ye hai ke subuk ho chalii hai qiimat-e-harf
So ham bhii ab qad-o-qaamat se ghat ke dekhte hain
Mujhe kaif-e-hijr azeez hai tu zar-e-wasal samait lay
main jo tera koe gila karon,meri kia majal samait lay
meray harf-o-sout bhe cheen lay meray sabr-o-zabt k saath tu
mera koe maal bora nahi,mera sara maal samait lay
ye tamaam din ki musafatain,ye tamaam raat ki aafatain
mujhe in dukhoun se nijat day,mera ye wabal samait lay
sabhi reza reza enayatain,usi eak ki hain riwayatain
wo jo lamha lamha bikhair day,wo jo saal saal samait lay
teray intazaar main es tarha mera ehd-e-shouq gozar gaya
sar-e-shaam jaisay basat-e-dil koe khasta haal samait lay
teray rukh pe chand bhe dard hai tera es main kaun sa harj hai
tu agar ye hashiya choor day,tu agar ye baal samait lay
mai gham k ghar mai quaid hoo'n be_ghar nahee'n hoo'n mai
thhokar na yu'n laga mujhey patthar nahee'n hoo'n mai
khush ho k daikhtey ho kyu'n meri tabahii ko
koi suhani shaam ka manzar nahee'n hoo'n mai
hai tazkara dukho'n ka mera saarey sheher mai
afsos aik tairii zaba'n par nahee'n hoo'n mai
aankho'n k iss tarazoo mai tu mujhko taul daikh
khudd_daar laakh hoo'n magar khudd_sar nahee'n hoo'n mai
Ishrat terey sawalo'n ka mai kia jawab doo'n
khudd apne aapko bhi mayassar nahee'n hoo'n mai
Teri hijraton ka malal tha mager ub nahi
mujhay sirf tera khayal tha mager ub nahi
teri bay misaal mohabbaton k nisab main
to zamanay bhar main misal tha mager ab nahi
to nay dard ata kia wohi shakhs
teri qurbatonmain nidhal tha mager ub nahi
main teri talash main rea rea bikhar gaya
woh junoon-e-shoq-e-wisaal tha mager ub nahi
tere der pay aakhri baar aa ker palat gaya
meri zindagi ka sawal tha mager ub nahi
apna mizaaj e kaar badalnay nahi diya
Dil ne koe nazaam bhi chalnay nahi diya
Aey mahtaab e husn humara kamal dekh
tujh ko kissi bhi rung mayn dhalnay nahi diya
gardish mayn hum rahay hayn toh apna qasoor kiya
Tu ne humayn kashish se nikalnay nahi diya
gir yeh kiya Toh aankh mayn bharta geyya dhuwaan
Dil mataa e dard ko jalnay nahi diya
thori si wazaa dari toh iss dil k waastay
Tu ne toh iss mayn waham bhi palnay nahi diya
tehzeeb apni ki mohabbat ne Saad yun
iss Dil ko hum ne had se nikalnay nahi diya
Jahan jahan bersaat uterti daikhi hai
Her sou teri yaad bikherti daikhi hai
Tum se pehlay dil sa buzdil koi na tha
Aur phir iss dil se dunya derti dekhi hai
Dil ke gehray sannatay main raaton ko
Kabhi kabhi ik hook ubherti dekhi hai
Buss ik jeenay ki khwahish thi aur wo bhi
Hum ne apni aankhon merti dekhi hai
Abhi Kuch Din Mujhe Meri Muhabbat Azmanay Do,
Mujhe Khamosh Rehnay Do,
Suna Hai Ishq Sacha Ho,
Toh Khamoshi Laho Ban Kar Ragon Mein Nach Uthti Hai,
Zara Uski Ragon Mein Khamoshi Ko Jhoom Janay Do,
Abhi Kuch Din Mujhe Meri Muhabbat Azmanay Do,
Usay Main Kyun Bataon Maine Usko Kitna Chaha Hai,
Bataya Jhut Jata Hai,
K Sachi Baat Khushbu Toh Khud Mehsus Hoti Hai,
Meri Baatein,
Meri Sochein,
Usay Jan Janay Do,
Abhi Kuch Din Mujhe Meri Muhabbat Azmanay Do...