Kia tha pyar us shaks se jo tha to apna nahi
Kia tha pyar us shaks se jo tha to apna nahi
lakin tha kaise or ka be nahi.
Lakin hogaya jab wo kaise or ka to apne pyar ka izhar kar bethe
hwa kia aaker, kuch na hosaka
hum dono bas intezar he karte rai or koi or aya
or hum ko ek dosre se juda kar dia.
Hum Tu Mojod Thy Raaton
Hum Tu Mojod Thy Raaton Mein Ujalon ki Tarha !!
Log Nikly Hi Nahi Dhondny Walon Ki Tarha !!
Dil tu Kia Hum Rooh Mein Utar Jate !!
Us Ne Chaha Hi Nahi Chahne Walon ki Tarha !!
Duniyaa ne ham pe jab koii ilzaam rakh diyaa
Duniyaa ne ham pe jab ko_ii ilzaam rakh diyaa
ham ne muqaabil us ke teraa naam rakh diyaa
ik Khaas had pe aa ga_ii jab terii beruKhii
naam us kaa ham ne gardish-e-ayyaam rakh diyaa
mai.n la.D_kha.Daa rahaa huu.N tujhe dekh-dekh kar
tuune to mere saamane ik jaam rakh diyaa
kitanaa sitam_zariif hai vo saahib-e-jamaal
us ne diyaa jalaa ke lab-e-baam rakh diyaa
insaan aur dekhe baGair us ko maan le
ik Khauf kaa bashar ne Khudaa naam rakh diyaa
ab jis ke jii me.n aaye vahii paaye raushanii
ham ne to dil jalaa ke sar-e-aam rakh diyaa
kyaa masalahat_shanaas thaa vo aadamii 'pari'
majabuuriyo.n kaa jis ne vafaa naam rakh diyaa
Dil aur wo bhii TuuTaa huaa dil
dil aur wo bhii TuuTaa huaa dil
ab zindagii hai jiine ke qaabil
kyaa zindagii kaa ehasaas-e-shaamil
tere baGair ek Gaarat-garii dil
hotaa hai jitanaa Khuun-e-tamannaa
ba.Datii hai utanii rangiinii-e-dil
josh-e-junuu.N me.n yak saa hai dono
kyaa gard-e-sehraa, kyaa Khaak-e-ma.nzil
taqdiir-e-insaa.N aur ye zamaanaa
ek marG-e-aasaa.N aur wo bhii mushqil
lab par tabassum, aa.Nkho.n me.n aa.Nsuu
ham likh rahe.n hai.n afsaanaa-e-dil
'sukoon' se aksar ham bhii mile hai.n
kuchh bhii ho lekin hai saahib-e-dil
Dhuup hai kyaa aur saayaa kyaa hai ab maaluum huaa
Dhuup hai kyaa aur saayaa kyaa hai ab maaluum huaa
ye sab khel tamaashaa kyaa hai ab maaluum huaa
ha.Nsate phuul kaa cheharaa dekhuu.N aur bhar aa_ii aa.Nkh
apane saath ye qissaa kyaa hai ab maaluum huaa
ham baraso.n ke baad bhii un ko ab tak bhuul na paaye
dil se un kaa rishtaa kyaa hai ab maaluum huaa
saharaa saharaa pyaase bhaTake saarii umr jale
baadal kaa ik Tuka.Daa kyaa hai ab maaluum huaa
Muje maf kar mere humsafar
Muje maf kar mere humsafar tuju chahna meri bhol thi,
Kisi rah par jo uthi nazar tuje daikhna meri bhol thi,
Koi nazam hota koi ghazal kahin rat ho ya sehar,
Wo gali gali wo shahar shahar tuje dhondna meri bhol thi,
Tere gham ki koi dawaa nai mje tj say koi gila nai,
Mera koi tere siwa nai yeh sochna meri bhol thi,
Mar jaay insan to barh jati ha keemat.........
zinda rhy to jeeny ki saza deti ha duniya
Musafir to bichartay hain rafaqat kab badalti hai
Musafir to bichartay hain rafaqat kab badalti hai
Mohabat zinda rehti hai Mohabat kab badalti hai
Tmhi ko chahtay hain aur tmhi say pyar kartay hain
Yehi barson say adat hai aur adat kab badalti hai
Kali ka phool banna aur bikhar jana muqaddar hai
yeahi qanoon-e-fitrat hai aur fitrat kab badalti hai
TEIRA SATH
zindegi ki ghani dhoop dhelnay say pahlay
ummeedon ki khushboo bikhrnay say pahlay
aik roz kabhi hum tum say milain
usi roz chaman main phool khilain
usi roz main apnay sub qaidi
yaani dukh k sub panchi
riha karoun
azaad karoun
or dil ka nagar abaad karoun
usi roz ho youn k hum donon
hathon main dalain hathon ko
khushyon k reishmi sahil say
aashaon k gehray saagar main
khwabon k hunse rang suuraj ko
kuch deir tak ruka deikhain
waqt ko thama dekhain
or jub jis pal jis lamhay tum
mujh ko deikh k dheeray say hunse do
ser apna mairay shanay per rakh do
tab saansein mari
maira jeevan
teiray name ho jaye
or zindegi ki bus wahin per shaam ho jaye....
Zamany k sawalon ko mein hans
Zamany k sawalon ko mein hans kar taal doon
lekin nami aankhon ki kehti hai muje tum yad aate ho