Urdu Poetry Collection at Urdu Poetry/Shayari Forum

i Urdu Poetry


Funny Urdu Poetry| Sad Urdu Poetry| Urdu Shayari| Romantic Urdu Poetry| Urdu Love Poetry| Hindi Urdu Poetry


Romantic Urdu Poetry

Romantic Urdu /Hindi Poetry

 

Main jidher gaya main jahan raha
Merai saath tha
Wohi aik saaya-e-meherbaa(n)
Wo jo aik chehra-e-aber tha' sar-e-aasmaa(n)
Pus her gumaa(n)
Wo jo aik herf-e-yaqeen tha
Merai her safer ka ameen tha
Wo aik baagh-e-iram numasabhi moasamo(n) main hara raha
Wo ujar gaya
Wo jo aik dua ka charagh sa merai raasto(n) mein jala raha
Wo bikher gaya
Merai ghum ko jar se ukharta
Wo jo aik lims-e-azeez tha
''Kisi kapkapatae se haath ka''
Wo nahin raha
Wo jo aankh rehti thi jagtimerai naam per
Wohi so gai
Wo jo ik dua-e-sukoon thimerai rakht main
Wohi kho gai
Aye khuda-e-wahid-o-lamyazel
Werai aik herf kai said hain
Ye zamaa(n) makaa(n)
Terai faislon kai huzoor main
Na mijaal hai kisi herf ki'
Na kisi ko taab-e-sawaal hai
Teri dain hai ' tera maal hai
Mujhy hai to itna malaal hai
Ke jab us ki sa'at-e-aakhri sar-e-raah thi
Main wahan na tha
Merai raaston se nikal gaya
Wo aik jaa-e-panah thi
Mein wahan na tha
Sar-e-shaam ghum mujhay dhoondti
Meri ''Maa'' ki bujhti nigaah thi
Mein wahan na tha
Merai chaar soo hai dhuaan dhuaan
Mery khuaab se meri aankh tak
Ye jo sail-e-ashk hai dermia(n)
Isi sail-e-ashk ke paar hai
kaheen meri ''Maan''
Tery reham ki nahin had koi
Terai ufoo ki nahin intihaa
Ke too Maan se barh ke shafeeq hai
Wo rafiq hai
Ke jo saath ho toye zindagiki musaafatain
Ye aziyyatein '' Ye rukaawatein
Faqat ik nigah ki maar hain
Ye jo khaar hain
Terai dast-e-mo'ajzah saaz se
Gul-e-khush jamaal bahar hain
Meri iltijaa hai to bus yehi
Meri zindagi ka jo waqt hai
Kate us ki ujli duaaon se
Terai derguzer ke huzoor main
Teri barkaton ke hisaar mein
Usi roshni ki qitaar main
kKsi cheez ki bhi kami nahin
Teri bakhshishon ke diyaar mein
Meri ''Maan ki rooh-e-jameel'' ko
Sada rakhna apne jawar main
Sada pur fiza wo lehad rahe
Tery lutf-e-khaas ki chaaon main
Tum khafa kyu'n ho..??

tumhe'n mujh se gilla kiya hay..??

achanak be'rukhi itni..??

batao to huva kiya hay..??

manao'n kis tarah tum ko..??

mujhe itna to batla do

agar ab ho sake tum se

to ye ehsaan farmado

meri manzil MUHABBAT hay

mujhe manzil pe poncha do

tumhari aankh me aanso'n

mujhe ache nahi lagte

tumhare narm honto'n pe

gille ache nahi lagte

tumhare muskurane se

mera DIL muskurata hay

tumhare ruth jane se

mera DIL toth jata hay

main aksar sochta ho'n ye

k tum kyu'n DIL me baste ho..??

koi ti baat hay tum me

jo itne ache lagte ho

WAFA k rang me dekho

jafa achi nahi hoti

kisi se ISHQ me itni

ANNA achi nahi hoti

chalo ab maan bhi jao

boht ab hochuki ranjish

kisi din or karlena

ye puri apni tum khwaish

faqat kehne ki baate'n hay

nabhata kon hay kis ko

chalo ab dekh lete hay

muhabbat kon karta hay..
Log Aurat ko Faqat Jism Samajh Lete hain
Rooh bhi hoti hai Usme Ye Kahaan Sochte hain??

Rooh kya hoti hai us se unhe Matlab hi nahi
Wo to bus Tan K Taqazoon ka kaha mante hain
Rooh Mer jai To ye jism hai chalti hoi Laash
Is Haqeeqat Ko samajhte hain na Pehchante hain

Kitni sadyoon se ye Wehshat Ka Chalan Jaari hai
Kitni Sadyoon se hai Qaim Ye Gunahoon ka riwaaj
Log Aurat ki her ik Cheenkh ko Naghma Samjhe
Wo Qabeelon ka zamana ho K shehroon ka riwaaj

Jabar se Nasl Barhe,Zulm se Tan Mail karain
Ye amal Hum Me hain…Be-Ilm Parindoo me nahi
Hum jo Insaan ki Tehzeeb liye phirte hain
Hum sa wehshi koi jungle k Darindoo me nahi

Ik Bujhi Rooh…Lute Jism K dhaanche k liye
Sochti hun me kahan Jaa k Muqaddar Phoroon
Me na zinda hun …. k Marne ka sahara Dhundoon
Or na Zinda hoon k….Dunya k Ghamoon se Choto’on

Kon Batlai Ga mujhe Kis se Ja Ker Poch’hoon??
Zindagi Qehar k Sanchoon me Dhale Gi Kab tak??
Kab talak Aankh Na khole ka Zamane ka zameer??
Zulm Or Jabar Ki ye Reet chale gi Kab Tak??

Log Aurat Ko Faqat Jism Samajh Lete hain…
mein nay iss taur se chaha tujhe aksar janaan
jaisay mahtab ko be-ant samander chahay
jaisay sooraj ki kiran seep ke dil mai utray
jaisay khushbu ko hawa, rung se hut ker chahay
jaisay pathhar ke kalaijay se kiran phoot-ti hai
jaisay ghunchay khulay mausam se hina mangtay hein
jaisay khaaboan mai khayaloan ki kamaan toot-ti hai
jaisay barish ki dua aabla-pa mangtay hein
mera har khaab meray such ki gawahi de ga
wus'at-e-deed ne tujh se teri khaahish ki hai
meri sochoan mai kabhi dekh sarapa apna!
mai ne duniya se alag teri parastish ki hai
khaahis-e-deed ka mausam kabhi dhundla jo hua
noach daali hain zamanay ki naqabain mai ne
teri palkoan pay utarti hui subhoan k liye
toar daali hain sitaroan ki tanabain main ne
mai nay chaha keh teray husn ki gulnaar fiza
meri ghazlon ki qataron se mehekti jaey
mai ne chaha keh meray fun ke gulistaan ki bahaar
teri aankhoan ke gulaboan se mehekti jaye
tai to yeh tha keh sajata rahay lafzoan ke kanwal
meray khamosh khayaloan mai takallum tera
raqs kerta rahay, bharta rahay, khushbu ka khumaar
meri khaahish ke jazeeroan mein takallum tera
tu magar ajnabi mahol ki parwardah kiran
meri bujhti hoi ratoan ko sahar ker na saki
teri sansoan mai maseehai to thee laikin tu bhee
chara-e-zakhm-e-gham-e-deeda-e-tarr, ker na saki
tujh ko maloom hi kab hai keh kisi dard ka daagh
aankh se dil mein utar jaey to kya hota hai???
tu keh seemab tabiyat hai tujhe kya maloom
mausam-e-hijr theher jaey to kya hota hai
tu nay uss moar pay tora hai ta'alluq keh jahan
dekh sakta nahin koi bhee palat ker janaan
abb yeh aalam hai keh ankhain jo khulain gee apni
yaad aey ga teri deed ka manzar janaan
mujh se maangay ga teray ehd-e-mohobbat ka hisaab
teray hijraan ka dehekta hua mehshar janaan
yoon meray dil ke barabar tera gham aya hai
jaisay sheeshay ke maqabil koi pathhar janaan!!!
jaisay mahtaab ko be-ant samander chahay
mai ne iss taur se chaha tujhay aksar janaan
Tum jahan pay baith kay jatee hoo

jis cheez ko hath lagate hoo

may wahee pay baitha rehta hoon

us cheez ko chota rehta hoon

may aisee mohabbat kerta hoon

tum kaisee mohabbat kerte hoo?



Tum jis say hans kay milte hoo

main us ko dost banata hoon

tum jis rastay per chalte hoo

may us say aata jaata hoon

may aisee mohabbat kerta hoon

tum kaise mohabbat kertee hoo?



Tum jin ko daikhte rehte hoo

woh khawab sirhanay rakhta hoon

tum say milnay julnay kay

kitnay he bahanay rakhta hoon

may aise mohabbat kerta hoon

tum kaise mohabbat kerte hoo?



Kuch khawab saja ker aankhoon may

palkoon say mouti chunta hoon

koi lams agar choo jayay tu

main pehroo us ko sochta hoon

may aises mohabbat kerta hoon

tum kaise mohabbat kerte hoo?



Jin logo may tum rehte hoo

tum jin say batain kerte hoo

jo tum ko achay lagtay hain

wohe mujh ko achay lagtay hain

may aise mohabbat kerta hoon

tum kaise mohabbat kerte hoo?



jab sooraj madham perta hai

jab chand rooshan hota hai

jab tarey chamakney lagtey hain

main her taroon se batain kerta hoon

main aisi mohabat kerta hoon

tum kaisi mohabbat kertey ho?



jab raat andhairi hoti hai

jab yaad teri terpaari hai

jab neend mujhe nahin ati hai

main tera tasawur bandh ker

sooney ki kooshish kerta hoon

main aisi mohabat kerta hoon

tum kaisi mohabat kertey ho?



jab thandi huwain chalti hain

jab tip tip baarish hoti hai

jab dil main hulchul hoti hai

main yad tumhain hee kerta hoon

main aisi mohabat kerta hoon

tum kaisi mohabat kertey ho?



jab ank main ansoon atey hain

jab dil main pather chubtey hain

jab seeney main kanta lagta hai

main yad tumhain he kerta hoon

ro ro k dareya bahata hoon

main aisi mohabat kerta hoon

tum kaisi mohabat kerte ho ..
Peer Ki Shab Aankhoun Mein Kati
Mangal Aya, Tum Nahi Aye
Budh Ko Mein Saj Ban Kar Bhaiti
Aankhein Bhi Dehleez Per Rakhein
Lamha Lamha Gin Gin Kata
Gounj Utha Dil Ka Sannata
Jumerat Ki Raat Ko Sajna!
Meine Suna Tumne Ana Hai
Dil Ne Kaha, Yeh Afsana Hai
Daikh Lia? Phir Tum Nahi Aye
Phail Gaye Yadoun Ke Saye
Juma Aya
Apne Ander Ki Larki Ko
Ahista Ahista Jagaya
Khushbo, Ghaza, Mehndi, Kajal,
Kangan, Bindiya, Jhumke, Payal
Jo Khuch Mere Pass Tha Janum!
Khoob Rachaya, Khoob Sajaya
Dhal Gaya Laikin Din Ka Saya
Hafta Aya
Khuch Bhi Na Paya, Aankhein Hi Kia
Dil Pathraya
Aur Itwar Ko
Ek Dastak Ne
Mere Andar Ke
Saray Arman Jagaye
Dil Mein Jo Murjhaye Hoye Thy
Phool Khilaye
Doorr Ke Darwaze Tak Pohanchi
Kaan Lagaye
Koe Na Bola, Koe Na Bola
Mein Pohanchi, Darwaza Khola
Koe Nahi Tha
Jagti Aankhoun Ka Sapna Tha
Wo Sapna BHi Tout Gaya
Dil Apna Bhi Tout Gaya
Dil Touta Tou Yaad Aya, Haan
Tumne Kia Tha Wada Mujhse
Athwain Din Ka
Athwaan Din Kab Aya Janam!
Tum Naam Batao Athwain Din Ka
Ya Phir Meri Baat Suno!
Ashkoun Ki Barsaat Suno!
Ayo Suno Ke Meine Janam!
Bannana, Sawarna Chor Dia Hai
Tumse Pyar Hai Ab Bhi Laikin
Tumse Mohabbat Ka Dam Bharna Chor Dia Hai
Jeena Seekh Lia Hai Meine
Rooz Ka Marna Choor Dia Hai!
*Gehri yadain
pichly baras
december ki

Bht khush thy pichaly baras december main

Ye socha tha ab ki baras mai honga usk ro,bro

Mgr tha malom kea hamko

decembr ik sa nae rehta

Decembr hr pal bdalta

Vo bety pal ulfat k

Vo moti sard barish k

na ab ky baras vo barsy

Vo thy anso decembr k

December ko jo yad aen

vo bety pal december main Asmar

Decembr khud b rota hy

Decembr khud b rota hy.
apnai ko hum is sheher main ruswa na kerain gay
ab tak jo hua khair, ab aisa na kerain gay


wada hai k ab aur jalain gay na jee ko
nuqsaan hay is main to yeh soda na kerain gay

ta shaam na un kuchoon main ghoomain gay pareshaan
ta subha shab-e-mah main jagha na kerain gay

her morr pai thithkain gay na diwanoon ki soorat
her darr pay tujhy ja ker pukara na kerain gay

likhian gay kisi ur hi unwaan ki nazmain
ghazloon main bhi is bat ka charcha na kerain gay

wada to kia hay magar aifa na kerain gay
aifa jo kerain gay koi acha na kerain gay

logon sai chupa lain gay jo aihwaal hai ji ka
apnai sai kisi bat main dhoka na kerain gay

ai dil tairay fermanoon ko na tala hay na talain
unki bhi tairey samnai perwa na kerain gay


is rah ko hum chor k jain kisi janib
azarda na hon hum kabhi aisa na kerain gay

likhaai gay usi thath sai nazmain kabhi ghazlain
han aj sai logon ko dikhaya na kerain gay


hum nay na kaha tha keh wo kia kia na kerain gay
han sabbar ki kehty ho to INSHA NA KERAIN GAY

barh jay ga aazar-e-muhabbat hay yeh logo
wo aik nazar daikh kay acha na kerain gay

unsai yeh kaho aisai diwanoon sai na uljhain
sun lin gay magar apka kehna na kerain gay


sail hain faqat aik inayat ki nazar kay
yeh aur kisi sheh ka taqaza na kerain gay


darr sai na uthain wo zamanat pai humari
russwa hain magar apko ruswa na kerain gay


wo ji main jo koi bat latain hain azeezo!
yeh sab na kerain gay chalo acha na kerain gay


tenhai main lai jaingay samjhain gay dil ko
yeh man bhi jay ga yeh dawa na kerain gay


itna hay k chorin gay yeh diwanoon ki sorat
hum kal sai sar-e-rah bhi baitha na kerain gay


ho jain gay ja ker kahin perdaiss main naukar
yaan saal main ik bar bhi aya na kerain gay

is sheher main ainda na daikhay gay wo hum ko
"KIA KIA NA KIA ISHQ MAIN KIA KIA NA KERAIN GAY
TU MERAY DIL MAY RAHTI HAY

Door ja ker meri jaan tujh ko meri yaad to aai ho gi




Meri terhan say yunhi raat ko uth ker tunay

Meri tasweer kai bar nikali ho gi


Khabi ankho kabhi honto say lagai ho gi
Jan-e- jaan subha talak neend na aai ho gi


Mera to haal khuch aisa hay yahan
Teray bina


Subha hoti ha meri dekh kay tasweer teri
Raat ko soti hu may choom kay tasweer teri


Pahraoo beth kay may us ko taka karti hu
Hal-e- dil apna


Faqat us say kaha karti hu
Khabi wo ruthti hay aor khabi may routh jati hu


Teri terhan teri tasweer bhi
Her roaz kahti ha


Faqat do char din to jan-e- mohsin aor baqi hain
May jaldi aao ga wapas


tumharay paas hi jana!
Tumhain bahoon may lay ker may tumharay hont chumu ga


Gham-e- tunhai ki wo sari batain tum say kah du ga
Akelay may wahan….


Tum say jo meri jan kerta tha
Mujhay teri qasam mujh ko yahi mehsoos hota tha


Ka tujh say door rah ker may zamanay may yu tunha hu!
Sitaroo kay bina jesay ka koi chand ho tunha


Meri jaan tujh ko butlaoo
Kay may jab raat ko sota tha khwabo may tu aati thi


Khabi senay pa ser rakh ker khabi bahoon may a ker tu
Mujhay yu gudgudati thi


Phir apnay garm hontoo ko
Meri ankhoo pay rakh ker tu


Mujhay aisay jagati thi
Kay yu mahsoos hota tha nahi hu door may tujh say


Tu meray sath rahti hay
TU MERAY DIL MAY RAHTI HAY
Ajab pagal c larki hai
mujhay har khat main likhti ha
mujhay tum yad kartay ho?
tumhain main yad ati hon?
meri batain satati hain?
meri nendain jagati hain?
meri ankhain rulati hain?
december ki suhneri dhoop main..ab bhi tehaltay ho?
kisi khamosh rastay say koi awaz ati hai..?
thetarti sard ratoon main tum ab bhi chat pay jatay ho..?
falak k sab sitaron ko meri batain sunatay ho..?
kitabon sy tumhary ishq main koi kami ayi?
ya meri yad ki shiddat sy ankhon main nami ayi..?
ajab pagal c larki hai
mujhy har khat main likhti ha..
jawaban usy likhta hon..
meri masrofiat dekho..
subha sy sham office main.. chiragay umr jalta hai
phir us k baad dunya ki.. kayi majborain pa'on main be-rdian dal rakhti hain
mujhay bay fikr chahat sy bharay sapnay nahi dikhtay
tehalnay,jagnay,ronay ki muholat he nahin milti
sitaron say milay ab arsa hua... naraz hon shayad..
kitabon sy shagaf mera..abi wesay he qayam hay
farq itna parha hai ab unhain arsay main parhta hon

tumhain kis nay kaha pagli
tumhain main yad karta hon.
k main khud ko bhulanay ki musalsal justujo main hon
tumhain na yad anay ki musalsal justujo main hon
magar yah justujo meri buhat nakam rehti ha
meray din raat main ab b tumhari sham rehti ha
meray lafzon ki har mala tumharay naam rehti ha
tumhain kis nay kaha pagli tumhain main yad karta hon
purani baat hai jo log aksar gungunatay hain..
unhain ham yaad kartay hain...jinhain ham bhul jatay hain
ajab pagal c larki hai
meri masrofiat dekho
tumhain dil say bhulao tu tmhari yad aye na
tumhain dil say bhulanay ki mujhy fursat nahin milti
aur is masroof jeevan main..
tumharay khat ka aik jumlaaaa..
tumhy main yad ati hon
meri chahat ki shiddat main kami hony nahi deta
buht ratain jagata ha..mujhy sonay nahi deta
so agli baar khat main ye jumla nahi likhna
ajab pagal c larki hai mujhay phir b ye likhti hai
mujhay tum yaad kartay ho??
tumhain main yad ati hon?

urdupoetry.com, hallagulla.com, urdumaza.com, urdupoint.com, besturdupoetry.com
urdupoet.net, shairy.com, poetryguru.com, shaairy.com, urdupoetry.org,