kabhi tumhara udass dil ho qayaas karna k pass hon mai
kabhi kisi ki kami lagay to qayass karna k pass hon mai
tumharay apnay jo door bethay tumhari nazrain utartay hain
jo tum na un ko qareeb pao to qayass karna k pass hon mai
kabhi jo tanhai mai kisi ki sadain tumko sunai bhi dain
to chupke say kar k band ankhain qayaas karna k pass hon mai
yeh mera wada bhi yaad rakhna k mai na tum ko bhula sakon gi
jo tum bhi mujh ko bhula na pao to qayass karna k pass hon mai....
Chalo phir milengey Kisi Shab
Raat ke Aanchal ku Ourhey
Fasloon Sey Moun Morey
Taroon Ke Neelgoo Roshni Mein
Chand Ke ujlee Chandnee Mein
Aansoon Key Sahil Per
Phir sey Rakhe-e-ngey Qadam
Hathoon Mein Haath Thame
Ankhoon he Ankhoon Mein,
Safar kar lengey
Kaee Manzileen,Kaee Rastay
Aur Koi Nahee Bus,
Yeh Khamooshi Mein Aur Tum
Woh Unkhaee Se Bateein
Umad ayeingey Phir sey
Tere Bheege Palkoon per
Hawa Bus Ruk Se jayegee
Aarzooein Phir Sey Machl Jayeingee
Saansien bus tehr see jayeingee
Iss tootatey Khwab Kee taab Na la kar
Aankhein Phir sey 'Chalk' jayeingee
Sada phir bhi na aye gee
Khamooshi Phir Bhi reh jayegee
Aansoon Key Sahil Per
Phir sey Rakhe-e-ngey Qadam
Chand Bhi Badal Ke Oot Sey
Hum Ku jhankta Hu ga
In berham Waqt ke Maujoon Mein
Dobta Dekha ga Hum Ku
Chandnee Bhi Laut jayegee
'Tu' phir sey Duur Buhat Duur Chale jayegee
Beet jayege Sare Raat Isee safar Mein
'Aankh' Khule gee Aur yeh Khwab nagri.
bhale dinoN ki baat hai
bhali si aik shakl thi
na ye ki husn-e-taam ho
na dekhne mein 'Aam si
na ye ki woh chale to kahkashaaN si rahguzar lage
magar woh saath ho to phir bhala bhala safar lage
koi bhi rut ho us ki chchab
fiza ka rang-o-roop thi
woh garmiyoN ki chchaaoN thi
woh sardiyoN ki dhoop thi
na muddatoN judaa rahe
na saath subh-o-shaam ho
na rishta-e-wafa pe zid
na ye ki izn-e-'Aam ho
na aisi Khush libasiyaaN
ki saadgi gila kare
na itni be takallufi
ki aaina haya kare
na iKhtilaat mein woh ram
ki bad-mazah hoN KhwahisheN
na is qadar supurdigi
ki zach kareN nawazisheN
na aashiqi junoon ki
ki zindagi 'azaab ho
na is qadar kaThor pan
ki dosti Kharaab ho
kabhi to baat bhi Khafi
kabhi sukoot bhi suKhan
kabhi to kasht-e-z'AfraaN
kabhi udaasiyoN ka ban
suna hai aik 'Umr hai
mu'Amilaat-e-dil ki bhi
visaal-e-jaaNfiza to kya
firaaq-e-jaaNgusal ki bhi
so aik roz kya hua
wafa pe bahas chchiD gayi
maiN ishq ko amar kahooN
woh meri zid se chiDh gayi
maiN ishq ka aseer tha
woh ishq ko qafas kahe
ki umr bhar ke saath ko
woh bad-taraz-hawas kahe
"shajar hijr nahin ki ham
hamesh pa ba gul raheN
na Dhor haiN ki rassiyaaN
gale main mustaqil rahaiN
mohabbatoN ki vus'AtaiN
hamare dst-o-pa meiN haiN
bas aik dar se nisbateiN
sagaan-e-bawafa meiN haiN
maiN koi painting nahiN
ki aik frame meiN rahooN
wahi jo man ka meet ho
usi ke praim meiN rahooN
tumhari soch jo bhi ho
maiN is mizaaj ki nahiN
mujhe wafa se bair hai
ye baat aaj ki nahiN"
na us ko mujh pe maan tha
na mujh ko us pe za'Am hi
jo 'ahad hi koi na hoi
to kya gham-e-shakistagi
so apna apna raasta
hansi Khushi badal diya
woh apni raah chal paDi
main apni raah chal diya
bhali si aik shakl thi
bhali si us ki doosti
ab us ki yaad raat din
nahin, magar "kabhi kabhi"
Saath chalne waale jab,
Saath chorr jaate hain
Waqt tham nahi jaata,
Koi mar nahi jaata,
Koi mar bhi jaaye tau,
Zindagi nahi rukti,
Rastoon ko chalna hai,
Raaste tou chalte hain,
Yaar dost milte hain,
Zakhum aisay siltay hain,
Dard dard lamhoon mein,
Umar kat hi jaati hai,
Kuch musafroon ko bus manzilain nahi milteen..
in kaalii sadiyo.n ke sar se jab raat kaa aa.Nchal dhalakegaa
jab dukh ke baadal pighale.nge jab sukh kaa saagar jhalakegaa
jab ambar jhuum ke naachegaa jab dharatii naGme gaayegii
vo subah kabhii to aayegii
jis subah kii Khaatir jug jug se ham sab mar mar ke jiite hai.n
jis subah ke amrit kii dhun me.n ham zahar ke pyaale piite hai.n
in bhuukii pyaasii ruuho.n par ik din to karam faramaayegii
vo subah kabhii to aayegii
maanaa ke abhii tere mere aramaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.n
miTTii kaa bhii hai kuchh mol magar insaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.n
insaano.n kii izzat jab jhuuThe sikko.n me.n na tolii jaayegii
vo subah kabhii to aayegii
daulat ke liye jab aurat kii ismat ko naa bechaa jaayegaa
chaahat ko naa kuchalaa jaayegaa, izzat ko naa bechaa jaayegaa
apanii kaalii karatuuto.n par jab ye duniyaa sharmaayegii
vo subah kabhii to aayegii
biite.nge kabhii to din aaKhir ye bhuuk ke aur bekaarii ke
TuuTe.nge kabhii to but aaKhir daulat kii ijaaraadaarii ke
jab ek anokhii duniyaa kii buniyaad uThaaii jaayegii
vo subah kabhii to aayegii
majabuur bu.Daapaa jab suunii raaho.n kii dhuul na pha.Nkegaa
maasuum la.Dakapan jab ga.ndii galiyo.n me.n bhiik na maa.Ngegaa
haq maa.Ngane waalo.n ko jis din sulii na dikhaaii jaayegii
vo subah kabhii to aayegii
faaaqo.n kii chitaao.n par jis din insaa.N na jalaaye jaaye.nge
siine ke dahakate dozakh me.n aramaa.N na jalaaye jaaye.nge
ye narak se bhii ga.ndii duniyaa, jab swarg banaaii jaayegii
vo subah kabhii to aayegii
jis subah kii Khaatir jug jug se ham sab mar mar ke jiite hai.n
jis subah ke amrit kii dhun me.n ham zahar ke pyaale piite hai.n
vo subah na aaye aaj magar, vo subah kabhii to aayegii
vo subah kabhii to aayegii
Na Chhedon Khilti Kaliyon, Hanste Phoolon Ko,
In Udti Titliyon, Awara Bhanwaron Ko,
Tassalsul Toot Jayega,
Fiza Mehway Sama'at Hai,
Haseen Hothon Ko Naghma-Rez Rehne Do,
Nigahein Nichi Rakho Aur Mujassam Gosh Ban Jao,
Agar Junbish Labon Ko Di
Tassalsul Toot Jayega,
Hawa Se Pattiyan Sargoshiyon Mein Mehave Hai,
Aur Jhumti Shaakhon Ke Jhoolon Mein,
Parindonki Chahek Se Sara Sahil,
Sarmadi Ehsaas Mein Dooba Hua,
Sarshar-O-Shadaan Hai,
Agar Kankar Bhi Satah-E-Aab Pe Mara,
Tassalsul Toot Jayega,
Ufuq Mein Dubte Suraj Ka Manzar
Is Bulandi Se Zara Dekho,
Isi Rangeen Kinare Par,
Shafaq Sona Lutayegi,
Yunhi Tum Be-Hiss-O-Saakit Raho,
Aise Mein Palkein Bhi Zara Jhapkein,
Tassalsul Toot Jayega...
Wo Khwabeeda Hai, Khwabeeda Hi Rehne Do,
Na Jane Khwab Mein Kin Waadiyon Ki Sair Karti Ho,
Bulandi Se Phisalte Aabsharon Mein Kahin Gum Ho,
Falak-Asaar Choti Par Kahin Meh'way Tarannum Ho,
Agar Awaz Di Tumne,
Tassalsul Toot Jayega...
Main Shayad Hoon,
Meri Fikr-E-Rassa, Ehsaas Ki Uss Satah Par Hai,
Jis Mein Khushbu Rang Banti Hai,
Sada Ko Shakl Milti Hai,
Tasavvur Bol Uthta Hai,
Khamoshi Gungunati Hai,
Ye Wo Waqfa Hai..........Aise Mein,
Agar Daad-E-Sukhan Bhi Di,
Tassalsul Toot Jayega.
Hamain Tum Saath Pao Gay~*~
Kabhi Main Yaad Aaoon To~*~
~*~Kabhi Tanhai Ki Raatain~*~
~*~Tumhain Ziada Sataein To~*~
~*~Kabhi Titli Na Bolay To~*~
~*~Aur Jugnoo Lout Jaye To~*~
~*~Kabhi Jab Dil Bhi Bhar Jaye~*~
~*~Koi Jab Sunn Na Paye To~*~
~*~Agar Sab Dost Sathi Bhi~*~
~*~Jo Tum Se Rooth Jaaein To~*~
~*~Kabhi Jab Khud Se Lar Lar Kar~*~
~*~Thakan Se Choor Ho Jao~*~
~*~Kabhi Chahtay Huay Bhi Khud~*~
~*~Akelay Ro Na Paao To~*~
~*~Apni Aankhon Ko Band Karna~*~
~*~Mujhay Aawaz De Dena~*~
~*~Aur Phir Meray Tasawwur Say~*~
~*~Jo Chaho Batain Keh Dena~*~
~*~Meray Kaandhay Pe Sir Rakh Kar~*~
~*~Tum Jitna Chaho Ro Lena~*~
~*~Phir Khud Main Jab Loat Jao To~*~
~*~Us He Duniya Chalay Jana~*~
~*~Magar Bas Itna Kehna Hay~*~
~*~K Jab Bhi Dukh Ya Khushiyon Main~*~
~*~Hamain Dil Se Pukaro Gay~*
Chalo ab maan jao tum,
Bohat anmol c ghariyan,
Bohat naayaab se lamhe,
Sitamgar wakt k pinjre me aa ker,
Kho gae hum se,
bohat ziddi ager ho tum,
To hum bhi hain bohat khudsir,
Mager ik baat batlaaon,
Bichar k humne kya paya?
Teri khushiyan juda humse,
Mere sapne khafa mujh se,
Teri raaten bhi sadiyon c,
Mere bhi din nhi kat'te,
Chalo ik pal ko sochen hum,
K in sab raaegan baton se,
Aakhir kya mila hum ko?
Chalo ab maan jao tum,
Tera joban ye mujh se hai,
Mera jeevan ye tujh se hai,
Teri muskan mujh se hai,
Mera her naam tujh se hai,
Chalo ab maan jao tum,
Mere bin tum adhoore ho,
Tere bin mai adhoora hon,
Tumhe meri zarurat hai,
Mujhe teri zarurat hai,
Tumhe mujh se mohabbat hai,
Mujhe tumse mohabbat hai,
Chalo ab maan jao tum..!
yahan her mor pe aysy
bhot se log miltey hain!
jo under tak utertey hain
abd tak sath rehnay ki!
akathe dard sehney ki!
hamesha baat karte hain!
usay kehna ye dunya hay!!!!!!!
yahan har shakhs matlab ki!
hadon tak sath chalta hay!
johin mosam badalta hay!
mohobat k sabhi daway!
sabhi qasmen ,sabhi waday!
achanak toot jatay hain!
usay kehna ye dunya hay!!!!!!!
yahan her morr pay apni!
sada ankain khuli rakhna!!
Bazi e Ishq Kuch Es Tarah Se Harey Yaroo
Zakham Per Zakham Lagey Dil Pe Humare Yaroo
Koi To Aisa Ho Jo Ghao Per Marham Rakhey
Yuun To Dushman Na Bunno Sare Ke Sare Yaroo
Bazm Main Ser Ko Jhukaye Huye Jo Bethy Hain
In Ko Mat Cheroo Yeh Hain Ishq Ke Marey Yaroo
Jinn Main Hoty Thy Kabhi Meher O Wafa Ke Moti
In Hi Ankhon Main Sittam Ke Hain Sharary Yaroo
Dost Hi Apny Jo Kerny Lageen Nazr E Tofaan
Kaam Nahi Aty Phir Koi Saharey Yaroo
Sang Gheroon Ne Jo Marey To Koi Dukha Na Hua
Mer Gaye Tum Ne Mager Phool Jo Marey Yaroo
Wo Jo Raha Dil Geer Tumhari Khatir
Tum Ne Kya Kya Nahiin Taney Usy Marey Yaroo