Yaad aata hai sakoot-e-shab mei'n woh aksar mujhay
Khainch laata hai meray andar say woh baahir mujhay
Kuch khabar lay aao uss ki Farwari ki barisho
Abb bahot soona lagay hai uss kay bina ye ghar mujhay
Itna socha hai kuch sawalon per
barf si girne lagi hai balon per
rone wale tu hans nahi sakte
log hanste hain rone walon per
gulon ko khil ke murjhanaa parhaa hai
tabassum kee sazaa kitanee karhee hai
yehi bhaut hay kay dil usko dhond laya hay
kisi kay saath hi sahi woh nazar to aya hay
karo shikaayatain takta raho kay piyaar karo
gaee bhaar ki surat woh laut aya hay
ek nazar dekh loon aajao saza se pehle
tumse milne ki tamanna hai khuda se pehle
ahal-e-ulfat ke liye chaahiye shoharat ai dil
naam bikataa hai muhabbat ke khareedaaron kaa
ek pal ho ga faqat deed ka, jiss ki khatir
maiN ne sadioN ko teri rah-e-guzar par rakha
ek haalat par na rahane paayee dil kee hasratein
tumane jab dekhaa naye andaaz se dekhaa mujh
Aj aik aur baras beed ghia us ke baghair
Jis ke hothe hoi hothe the zamane mere
apnee tasveer banaane ke liye duniya mein
maine har rang pe ik rang charhaanaa chaahaa