ek tum ke dil mein dard kisii Gair ke liye
ek ham ke dard ban gaye Khud aap ke liye
arsh se farsh talak chhayee hai taareeqi-e-jehal
aag duniya ko lagaa do to ujaalaa ho jaaye
ek ek qatare kaa mujhe denaa paraa hisaab
Khuun-e-jigar vadii_at-e-mishagaan-e-yaar thaa
yeh arzoo thi tujhe gul keh roo-baroo kartae
hum aur bulbal-e-baetaab guftagoo kartae
ye bhee ahsaan hai uskaa jo vo bedaad karey
varnaa kya usko garz kuon vo mujh ko yaad karey
ek tum keh dil mein dard kisi gair keh liye
ek hum keh dard ban gaye khud aap keh liye
hum apnay aashiyane mein teray muntazier
tum tinkae chun rahey thay kisi aur keh liye
Agar mai lautna chaahoon to kia mai laut sakta hoon
Wo dunia saath jo mere chalee thee ab kahan hogee
aj dunya sitm daye tho dil toot gia
tera pyar tera andaze wafa yaad aya
kash hum tum ko mana lethe na jane dethe
barsoo baad ye andaaz khatha yaad aya
AA DAIKH KABHI UJRA HUWA DIL KE ROONAK
KAISI BASTI TERI YADOON KI BASA DI HUM NA
yah sharm ke maanee hain, hayaa kahate hain isko
aagosh-e-tasvvur mein, na aayaa badan unkaa