Na Milta Ghum, To Barbaadi ke Afsaane Kahan Jaate
Agar Duniya Chaman Hoti To, Viraane Kahan Jaate
Chalo Achhaa Huwaa, Apnon mein Koi, Gair To Nikalaa
Agar Hote Sabhi Apne, To Begaane Kahan Jaat
niind usakii hai, dimaaG usakaa hai, raaten usakii hain
terii zulfen jisake baazuu par parishaaN ho gaiin
Is Pyar Ke Safar Mein Mera Hath Thaam Lo
Manzil Per Pohanchnay Tak Kahien Dhool Na Ban Jaoun
ek pal mein ik sadee kaa mazaa ham se poochhiye
do din kee zindagee kaa mazaa ham se poochhiye
bhoole hain raftaa-raftaa unhein mudatton mein ham
qishton mein Khud-kushee kaa mazaa ham se poochhiye
ham tarasate hii taraste hii tarasate hii rahe
vo falaane se falaane se falaane se mile
na rang-o- roop ki tarah na khad-o-kaal ki tarah
woh mery man main aabasa hay kisi maalal ki tarah
main raastha hon or tumhari yaad qaafla hay jo
guzar rahi hay mujh say mery maah-o-saal ki tarah
os pare bahaar par aag lage kanaar mein
tum jo nahiin kanaar mein luTf hii kya bahaar mein
mahsoos kar rahaa hoon main karb-e-shikastgee
tum bhee shaguft-e-gul kee sadaa gaur se suno
Hijraton ke dour mein ho waapsi ki aarzo
waapsi ki aarzoo men shouq-e be qabo ho tum
ek bekasii hai hijr ke maaron ke saath saath
TuuTaa hai meraa dil bhii sahaaron ke saath saath