abhi ic taraf na nigah kar
main ghazal ki palkain sanwar loun
mera lafz lafz hoa aina
tjhe ainay mai utar loun
main tamam din ka thaka hoa
to tamam din ka jaga hoa
abhi tehar ja ici mor par
teray sath sham guzar loun
agar asmaan ki numaishoun main
mujhe bhi izn-e-qayam ho
main motioun ki dukaan se
teri balian teray haar loun
kai ajnabi meri rah se
meray pass se u guzar gaey
jinhay daikh kar ye tarap hoi
tera naam le k pukaar loun
Aapke shaher ka mausam suhana lage,
Aapki ek shaam chura **** agar bura naa lage,
Aap chahe to bhula de humko,
Par aapko bhulane mein shayad hame zamana lage
ek aansoo bhee asar jab na kare ai ''tishna''
faayadaa rone se ai deed-e-tar kuchh bhee naheen
ek pal meN ek sadii kaa mazaa ham se puuchhiye
do din kii zindagii kaa mazaa ham se puuchhiye .....
Teri Yaad Or Tere Dheyaan Mein Guzri He
Sari Zindagi Aik Makaan Mein Guzri He
Is Tareek Faza Mein Meri Sari Umer
Dia Jalane Ke Imkaan Mein Guzri He
Apne Lie Jo Sham Bacha Ker Rakhi Thi
Wo Tujh Se Ehd-o-Paimaan Mein Guzri He
ruu-e-jaanaaN ke darmiyaaN “Majrooh”
huuN maiN haail niqaab kii suurat
Itna socha hai kuch sawalon per
barf si girne lagi hai balon per
rone wale tu hans nahi sakte
log hanste hain rone walon per
eitebar bhi aa hi jae ga milo tu sahi milo tu sahi
rasta koi mil hi jae ga chalo tu sahi chalo tu sahi
ranj day ker bhi malaal kon karaye
abh is qadar bhi khayaal kon kareye
Ik aisi dhun kay nahi phir kabhi bhi main nay suni
Woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi