Urdu Poetry Collection at Urdu Poetry/Shayari Forum

i Urdu Poetry


Funny Urdu Poetry| Sad Urdu Poetry| Urdu Shayari| Romantic Urdu Poetry| Urdu Love Poetry| Hindi Urdu Poetry


Love Urdu Poetry

Love Urdu Poetry

 

Mouhabat Tum Say Ki Hai
Dulhan K Roop Mai Pana Cahata Ho
Bus Tumhain Cahata Ho

Tumhain Paa K Dunya Say Chupana Cahata Ho
Bus Tumhain Cahata Ho

Kabhi Apni Zulfoo Ko Shanoo Par Tu Lao
Mai Wo Haseen Munzar Dahkna Cahata Ho

Mouhabat Tum Say Ki Hai
Dulhan K Roop Mai Pana Cahata Ho
Miley Jo Mohabbat To Izhaar Kar Hi Dena,
Na Jane Kis Mod Par Bichad Jaye Woh,Phir Na Milne Ke Liye,
Miley Jo Pyaar To Dil Beqarar Kar Hi Lena.

Aaye Jo Yaad Unki Is Duniya Ki Bheed Mai,
Mehfil Me Na Sahi,Tanhai Me Aankhe Zaar-Zaar Kar Lena.

Miley Jo Mandir, Masjid, Ya Ho Namaz Kahi,
Unki Salamati Ki Dua Khuda Se Baar Baar Kar Lena.

Mehfil Me Mil Jaye Woh Agar Tanha Baithe Hue,
Nazre Mila Ke Unse Aankhe Char Kar Lena.

Hota Nahi Sabka Naseeb Sitaro Jaisa,
Mil Jaye Jo Chaand To Deedar Kar Lena.
Miley Jo Mohabbat To Izhaar Kar Hi Lena.
Hath siney pe jo rakkh do to qarar aa jaye
Dil k ujhrhey huwe gulshan mai bahar aa jaye

Dil to kehta hai k aankho地 mai chhupa loo地 tujhko
Aur phir jaisey muqaddar ko nikhaar aa jaye

dil k zakhmo地 mai merey pyar ka marham rakkh do
Be qarari mai mujhey, kutch to qarar aa jaye

yu地 Khuda k liye chhino地 na merey hosh o hawas
Aisi nazro地 se na dekho k khumar aa jaye

Chhorh k tum bhi chaley jaogey qismat ki tarah
Laut aao k khizao地 mai bahar aa jaye
TUMHARE BIN AB JEEYA NAHI JATA...

Badhti howi betaabiyan
Intezaar bhari shamen
Beqaraar see meri raaten
Be noor hain meri aankhen
Koi bhi rang nahi bhaata
Tumhare bin ab jeeya nahi jata...

Badhti howi khamosheyan
Jaagti raaten lambe din
Aankhon main kuch khowab adhurae
Laboon per aadhi baat
Aadhi baat bhi uljhe see
Uljhe batoon k saath raha nahi jata
Kya karen kuch kiya nahi jata
Tumhare bin ab jeeya nahi jata...
Mohabbat hoon Mohabbat
karke dekh
Main Mohabbat na doon
To kehna

Main muskurahat hoon Mujhe
Hansa kar dakh
Na sajoon tare honton per
to kehna

Main khushboo hoon mujhe
Mehsoos karke dekh
Na mehkoon tari zindagi main
to kehna

Main Dil hoon mujhe
Sun ker dekh
Na dhakoon Tere Dil main
to kehna

Main phool hoon mujhey
Laga ker dekh
Na mehkoon din raat
To kehna

Main mohabbat hoon mujhe
Apna karke dekh
Na banoo main teraa
to kehna
Taro ki chamak main dhoondu main tumhe
Chand ki chandni main dhoondu main tumhe

Pyar ke rango se rang di hai meri zindagi
Har pal har khushi main dhoondu main tumhe

Pyar sey dil ke har ek kone main aisey basa loon
Khushion key her ek raang se sajha doon tumhe

Bas jaoun tere dil aur demaag main youn aur
Reshaam se nazuk dor main baandh loon tumhe

Na jaa paoge door phir kabhi bhi tum mujhse
Aise apne rab se maana hai meri jaan tumhe
Aye Moj-e-hawa ab tu hi bata,
Woh yaar hamara kesa hai..?

Jo bhool gaya hum ko kab se,
Woh jaan se pyaara kesa hai..?

Kia us k jeewan lamhon main,
Koi lamha mera baqi hai..?

Kia uski jaagti aankhon main,
Meri yaad se pheli udasi hai..?

Kia woh bhi meri tarhan unhi,
Shab bhar jaaga karta hai..?

Kia woh bhi saay-e-Rehmat main,
Hamain Rab se maanga karta hai..?

Agar aesa nahin to tuu hi bata,
Hum yaad usse q karte hain..?

Woh hum se bichar kar khush hai agar,
To hum pal pal q martey hain..
abhi ic taraf na nigah kar
main ghazal ki palkain sanwar loun
mera lafz lafz hoa aina
tjhe ainay mai utar loun
main tamam din ka thaka hoa
to tamam din ka jaga hoa
abhi tehar ja ici mor par
teray sath sham guzar loun
agar asmaan ki numaishoun main
mujhe bhi izn-e-qayam ho
main motioun ki dukaan se
teri balian teray haar loun
kai ajnabi meri rah se
meray pass se u guzar gaey
jinhay daikh kar ye tarap hoi
tera naam le k pukaar loun
Aapke shaher ka mausam suhana lage,
Aapki ek shaam chura **** agar bura naa lage,
Aap chahe to bhula de humko,
Par aapko bhulane mein shayad hame zamana lage
ek aansoo bhee asar jab na kare ai ''tishna''
faayadaa rone se ai deed-e-tar kuchh bhee naheen

 

urdupoetry.com, hallagulla.com, urdumaza.com, urdupoint.com, besturdupoetry.com
urdupoet.net, shairy.com, poetryguru.com, shaairy.com, urdupoetry.org,