Urdu Poetry Collection at Urdu Poetry/Shayari Forum

i Urdu Poetry


Funny Urdu Poetry| Sad Urdu Poetry| Urdu Shayari| Romantic Urdu Poetry| Urdu Love Poetry| Hindi Urdu Poetry


Hindi Urdu Poetry

Hindi Urdu Poetry

 

Bichar Jayen Tu Milne Ki Aas Rakhna
Humare Dilko Apne Hi Paas Rakhna,
Har Aik Chehra Nahi Hota Dost Janeman,
Humari Baat Ko Bus Apne He Paas Rakhna.
Mere Siwa Na Koi Dekhe Aapko,
Faqat Apni Nazar Humare Aas Pass Rakhna,
Juda Kia Hai Jis Ne Wahi Mileyga
Bus Uss Ki Zaat Se He Apni Aas Rakhna.
Hijar ke yaad maii sulgoo too bura lagta haiii
Tum mere deed ko tarsoo too bura lagta haii
Aik tamana haii faqt mujh par meharbaan rahoo
Tum kese aur ko dekhoo too bura lagta haii
Mere rooh tarastee haii tere kushboo koo
Tum kahen aur jo mehkoo too bura lagta haii
Arzoo haii k tery roop ko har haal mai dekhoon
Tum mery pas se uthoo too bura lagta haiii
Hum utha sakty haii jab naaz tumhary!
Tum kese aur ko chahoo tooo bura lagta hai!
Dair Raat Jub Kisi Ki Yaad Sataye,
Thandi Hawa Jub Zulfon Ko Sehlaye...
Karlo Aankhen Band Aur So Jao,
Kia Pata Jiska Hai Khayal Wo Khawaboon mein Aajaye,
Kabi Tum apni Mohabbat ka Aitbaar to do
Mai chahoon Toot k Tum ko ye Ikhtiyaar to do
Guzarti hi nahi Mujh se ye Zindagi Tanha
Sahara Pyaar ka deker isey guzaar to do
Mai sochti Hoon Tumhare bagair kya hoga?
Dil-o-Dimaag per ek Bhoj hai utaar to do
Mere khayal ki Raahon ko Keh-Kishaan kar do
K Roshni se Meri Zindagi Sanwaar to do
Umeed-e-Wafa Ghum-e-Hijar ka Muda'wa hai
Mai Intizaar karoon magar Zabt-e-Intizaar to do
Dil se tera khayal na jay to kya karon
Tu hi bata tu yaad aye to kya karon
Hasrat yehi hai k ek nazar tuje dekh lo
Magar kismet wo lamha na laiy to kya karon
Aadat hai unki yaad Aane ki
In Aankho main ko unki Aik Jalak Pani Ki
Hamari tu Tamanna thi unhi pane ki
Par shayed unki Aadat hai Hame Tarpane ki
Tumhar Naam lik lik kr metana bol jata hu
Tumai jab yad krta hu bulana bol jata hu
Bohat c aisi baty hain jo mere dil main rehti hai
Magar jab tum se milta ho sunana bol jata ho
Main her aik sham kehta ho ke tum ko bol jawonga
Magar jab subah hoti hain bolana bol jata ho
Ye Sheher Agar Sheher Hay to Sunsaan Sa Kyun Hay
Is SHeher Ka HAr Shakhs Paraishaan Sa Kyun Hay
Is Sheher K Log Jisay Kehtay Hain Maseeha
Wo Shakhs MEray Dard Say Anjaan Sa Kyun Hay
Matti Say Bana Hay to Ghul Kyun Nahin Jaata
gar Patthar Ka Sanam Hay to Insaan Sa Kyun Hay
Ankh barsi hai tere naam pe sawan ki tarah
Jism sulga hai teri yaad main indan ki tarah

Lorya di hai kisi Qarb ki khawahish ne muje
Kuch jawani ke bi din guzre hai bachpan ki tarah

Is bulandi se mujee tu ne nawaza kio tha
Gher ke main toot gaya kanch ke bartan ki tarah

Muje se milte huwe ye baat bi sochi hoti
Main tere dil main sama sakta ho darkhan ki tarah

Muntazir hai kisi mekhsoos si aahat ke leye
Zindagi baithi hai dehleez pe barhan ki tarah

Na kio raah ujhali, na shabistan mian jala
Temtimata ho cheragh sar-e-madghan ki tarah
Aaj rotha hua aik shakhs buhat yaad ayaa,
Acha guzra hua waqt buhat yaad aya,
Jo mere dard ko seene main chupa leta tha,
Aaj dard hua to woh buhat yaad aya.

urdupoetry.com, hallagulla.com, urdumaza.com, urdupoint.com, besturdupoetry.com
urdupoet.net, shairy.com, poetryguru.com, shaairy.com, urdupoetry.org,