Urdu Poetry Collection at Urdu Poetry/Shayari Forum

i Urdu Poetry


Funny Urdu Poetry| Sad Urdu Poetry| Urdu Shayari| Romantic Urdu Poetry| Urdu Love Poetry| Hindi Urdu Poetry


Hindi Urdu Poetry

Hindi Urdu Poetry

 

Hamne mana aapme hogi sabra ki takat hamse jyada,
Dekh lo lekin utri hogi aapki surat hamse jyada.
Aur bhi bahut si cheeze lut chu-ki hai dil ke saath
Ye bataya dosto ne ishq farmane ke baad
Is liye kamray ki ek ek cheez "ckeck" karta hoon main
"Ek tere aane se pehle, ek tere jaa-ne ke baad"

Duniya Se Jo Dare, Usse Kayar Kehte Hain,
Duniya Jisse Dare, Usse Shayar Kehte Hain,
Biwi Se Jo Dare, Usse Shohar Kehte Hain.

Jise dil diya woh dilhi chali gayi..
Jise pyar kiya woh italy chali gayi...
Dil ne kaha khud kushi(suicide) kar le zalim...
Bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi...

Yeh mere aasu jinhe koi pochne wala bhi nahi,
Koi aanchal enhe milta to sitare hote.
Ek Sher sunata hu bade dhyan se suno
Ek Sher sunata hu bade dhyan se suno
Mujhe Sher nahi aata kisi aur se suno
Mumkin Nahi Shayad Kisi Ko Samajh Pana,
Samjhe Bina Kisi Se Kia Dil Lagana.
Aasan Hai Kis Ko Pyar Karna,
Bohat Muskil Hai Kisi Ka Payar Pana..
Teri kooshish teri tadbir hona chahta hoon,
main teray haath ke tehrir hona chahta hoon,
Too meray paas aay aur palat kar na jay,
main teray paaon ke zanjeer hona chahta hoon,
Mujay aadat nahi ab doosroon k mashwroon ke,
main khud b sahb_e_taqdir hona chahta hoon,
Azal say khawab ban kar teri aankhoon main raha hoon,
main ab sharminda_e_tabir hona chahta hoon,
Main is leiay mismar khud ko kar raha hoon,
k taray haath say tamir hona chahta hoon,
Khud ko is dil main basane ki Ijazat Day Do
Mujh ko tum apna bananay ki Ijazat Day Do...
Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho
Phoolon say khud ko sajanay ki Ijazat Day Do
Main kitna chahta hoon kis tarha bataoon tumhain
Mujhay yeh aj batanay ki Ijazat Day Do
Tumhari raat si zulfon main chand sa chehra
Mujhay yeh sham sajanay ki Ijazat Day Do
Mujhay Qaid kar lo apnay ishq main
Yeh jaan tum pe lootanay ki Ijazat Day Do
Wo baat baat main itna badalta jata hai
k jis tarah koi lehja badalta jata hai
Ye aarzoo thi k hum uske saath saath chalein
magar wo shakhs tou rasta badalta jata hai
Rutain wisaal ki ab khuwab honay wali hain
k uski baat ka lehja badalta jata hai
Raha jo dhoop main sar par mairay wohi anchal
hawa chali hai tou kitna badalta jata hai
Wo baat kar jissay duniya b mo'atbar samjhay
tujhay khabar hai zamana badalta jata hai.

urdupoetry.com, hallagulla.com, urdumaza.com, urdupoint.com, besturdupoetry.com
urdupoet.net, shairy.com, poetryguru.com, shaairy.com, urdupoetry.org,