ab lage zaKhm to qaatil ko duaa dii jaaye
jab lage zaKhm to qaatil ko duaa dii jaaye
hai yahii rasm to ye rasm uThaa dii jaaye
tishnagii kuchh to bujhe tishnaalab-e-Gam kii
ik nadii dard ke shaharo.n me.n bahaa dii jaaye
dil kaa vo haal huaa ai Gam-e-dauraa.N ke tale
jaise ik laash chaTTaano.n me.n dabaa dii jaaye
ham ne insaano.n ke dukh dard kaa hal Dhuu.NDh liyaa
kyaa buraa hai jo ye afvaa u.Daa dii jaaye
ham ko guzarii hu_ii sadiyaa.N to na pahachaane.ngii
aane vaale kisii lamhe ko sadaa dii jaaye
phuul ban jaatii hai.n dahake hue sholo.n kii lave.n
shart ye hai ke unhe.n Khuub havaa dii jaaye
kam nahii.n nashe me.n jaa.De kii gulaabii raate.n
aur agar terii javaanii bhii milaa dii jaaye
ham se puuchho Gazal kyaa hai Gazal kaa fan kyaa hai
chand lafzo.n me.n ko_ii aah chhupaa dii jaaye
Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Maira Chehra
Jallay Chiraagh tu Bujhnay Laga, Maira Chehra
Woh Tairay Hijar Kay Din woh Safeer Sadiyon Kay
Tu Un Dinoon mein Kabhi Daikhta Maira Chehra
Judaiyoon Kay Safar Mein Rahay Hain Saath Sada
Tairi Talaash, Zamanay, Hawa, Maira Chehra
Mairay Siwa Koi Itna udaas Bhi Tu Na Tha
Khizaan Kay Chand Ko Achaa Laga Maira Chehra
Kitaab Khool Raha Tha Woh Apnay Maazi Ke
Warq Warq Pay Bikharta Gaya Maira Chehra
Sehar Kay Noor Say Dhulti Hoi Tairi Ankhain
Safar Ke Gard Mein Lipta Howa Maira Chehra
Hawa Ka Akhri Boosa Tha Ya Qayamat Thi ?
Badan Ke Shaakh Say Phir Gir Para Maira Chehra
Jissay Bujha Kay Hawa Soogwar Phirti Hai
Woh Shama e Shaam e Safar Thi Keh Maira Chehra
Yeah Loug Kiyon Mujhay Pehchantay Nahi Mohsin
Mein Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Maira Chehra ?
Khush Thay Kuch Aisey Teri Rafaaqat Ke Shoq Mein
Manzil Ganwa Di Hum Ne Musaafat Ke Shoq Mein
Nafrat Hi Pehrey Daar Mili Har Makaam Par
Jiss Dar Pey Hum Gaey Hain Muhabbat Ke Shoq Mein
Hum Baargah-e-Ishq Mein Maqbool Yoon Huey
Khud Say Bicharr Gaey Teri Qurbat Ke Shoq Mein
Lotey Hain Abb To Saath Hai Ranj-o-Aalam Ki Bheerrh
Nikley Thay Ghar Say Ikk Musarrat Ke Shoq Mein
Apney Chaman Say Raabta Bilkul Nahin Raha
Sehra Noraad Ho Gaey Dolat Ke Shoq Mein
Daaman Mein Hasraton Ke Siwa Kuch Nahin bacha
Aisey Lutey Hain Hum Teri Chahat Ke Shoq Mein !
aankhon se tera khuwaab nikala nahi gaya
or dil se tere dard ka hala nahi gaya
her simt khema zan thi zamaney main taragi
dil se muhabbaton ka ujala nahi gaya
dil se jhalak gaya kabhi aankhon se beh gaya
hum se tu tera dard sambhala nahi gaya
ek umer ho chuki tujhe bichrey hoye magr
is zindagi se tera hawala nahi gaya
tu ne kaha tu teri tamana hi chor di
teri kisi bhi baat ko tala nahi gaya
phr yun hoa k umer judai main kat gai
khud ko tere mizaj main dhala nahi gaya
gham e firaaq sey pehlay shab e visaal key baad
hai aur kya jisay dekhien teray jamaal key baad
tamam umr katti intezar mein apnii
koii bhi dukh na milla phir teray malal key baad
jawaab mil gya mujhey teri khamoshi sey
tumharey lafz kyoun khoye meray sawaal key baad
tumharey meray ta’aluq pey youn khizaa’n chaii
kbhii urooj nahii hai jisay zawaal key baad
main teri yaad key chehray ko dhaanp doon lekin
bachay ga kya meri jhoulii mein is kamaal key baad
wo ab kii baar milla is qadar takaluf sey
ke kuch bhii na pooch paya main us sey haal key baad
Kahin sehra kahin sookhe shajar ache nhi lgte
Muje ab khwabzaaron k safar ache nhi lgte
Jawabi khat mein youn us ne mere bare mein likha tha
Bura b keh nahi sakte mager ache nahi lgte
Nahi masroof main itna k ghar ka rasta bholon
Koi jab muntazir na ho to ghar ache nahi lagte
Samander tairti lashon se ye kehta raha shab bhar
Mujhy b doobne walo, bhanwar ache nahi lgte
Nahi aisa k ab parwaz ki taqat nahi baqi
Meri ummeed k panchi ko per ache nahi lgte
ho ke bechain mai.n bhaaga kiya aahuu ki tarah
bass gaya tha mere andar koyii khushbuu ki tarah
merii aawaaz tujhe CHuu ley bass itanii mohlat
tere kuuchey se guzar jaauunga saadhuu kii tarah
who jo aa jaaye to kyaa hosh ka aalam hoga
jiske aaney kii khabar phailii hai khushbuu kii tarah
zindagii pyaar wafaa sabkaa muqaddar yaksaa.N
muskuraahaT kii tarah hai kabhii aa.Nsuu kii tarah
shayarii terii ibaadat ke sivaa kuCh bhii nahii.n
kar rahaa huu.N mai.n tapasyaa kisii saadhuu kii tarah
harr alam saath rahaa gard-e-safar kii maanind
harr khushii raah mai.n mujhko milii jugnuu kii tarah
zindagii Thokarei.n khaatii hai biChaD kar tujhse
terii paazeb ke TuuTe huye ghungruu kii tarah
koyii Ishwar kahe usko ke khudaa koyi kahe
woh musalmaa.N kii tarah hai na who hinduu kii tarah
apnii harr saa.Ns pe ehsaa.N liye hamdardo.n ka
zindagii jiita huu.N is ehad mei.n urduu kii tarah
ab ye ehsaas kii khuubii ho ke khaamii ho ‘NOOR’
uskii nafrat ka dhuaa.N bhi lagaa khushbuu kii tarah
Ek chehra jo mere khwab saja deta hai
Mujh ko mere hi khayalon mein sada deta hai
Wo mera kaun hai maloom nahi hai lekin
Jab milta hai to mera gham mita deta hai
Main jo kabhi toot ke bikhroon to wohi mujhko
Chahnay k liye apne haath barha deta hai
Main jo tanha kabhi chupkay se bhi rona chahun
Dil ke darwaze ki zanjeer hila deta hai
uski qurbat mein hai kya baat najana yaaro
Ik lamhe k liye sadiyon ko bhula deta hai
ishq pagal kar gaya tau kya karo gay soch lo
saneha aisa huwa tau kya karo gay soch lo
sath uss k harr qadam chalne ki aadat kiss liye
chhorh kar wo chal diya tau kya karo gay soch lo
shor baahar hai abhi iss wastey khamsoh ho
shor andar uthh gaya tau kya karo gay soch lo
karr rahe ho ghar naya ta'meer urhti rait par
ye achanak gir gaya tau kya karo gay soch lo
band aankho'n mai adhoora khwab buntey ho magar
koi unn mai aa'n basa tau kya karo gay soch lo
darr dareechay sab mukaffil kar k bathhe ho magar
wo achanak aa gaya tau kya karo gay soch lo
doobtey sooraj ka chehra aur uss ka naqsh e paa
jab wo manzar ghumm huwa tau kya karo gay soch lo
Uljhta Chor Gaya Mujhe Sawalon Mein,
Woh Ek Shakhs Jo Apna Tha Shehr Walon Mein,
Tamam Sochein Uski Gulaam Lagti Hain,
Yeh Kon Bas Gaya Akhir Mere Khayalon Mein,
Agarcha Mujhse Taluq Nahi Raha Laikin,
Na Naam Leta Hai Ab Bhi Mera hawalon Mein,
Yeh Aur Baat Hai K Gumnam Ho Gaye Hum,