durii ke Gam kuchh aur sivaa ho ke rah gaye
ham un se kyaa mile ke judaa ho ke rah gaye
khoye hue the der se vo merii yaad me.n
mujh par nazar pa.Dii to Khafaa ho ke rah gaye
phir dosto.n ko mai.n ne pai mashq de diye
jo tiir mujh tak aaye Khataa ho ke rah gaye
majabuur ho ke maa.Ngii thii lutf-o-karam kii bhiik
lutf-o-karam bhii jor-o-jafaa ho ke rah gaye
ab kyaa rahaa tere liye ai ishq naamuraad
ab vo bhii mubtilaa-e-vafaa ho ke rah gaye
allaah aa_iinaa to kabhii dekh lo 'Khumaar'
tum kyaa the aur ishq me.n kyaa ho ke rah gaye
bujh gayaa dil hayaat baaqii hai
chhup gayaa chaa.Nd raat baaqii hai
hal-e-dil un se kah chuke sau baar
ab bhii kahane kii baat baaqii hai
raat baaqii thii jab vo bichha.De the
kaT ga_ii umr raat baaqii hai
ishq me.n ham nibhaa chuke sab se ai 'Khumar'
bas ek zaalim hayaat baaqii hai
woh pal bhar ke liye jo ruk jati mujhe kuch aur kehna tha
galat fahmi ne baato ko barha dala yuhi warna ..........
kaha kuch tha,woh kuch samjhi mujhe kuch aur kehna tha
kamai zindagi bhar ki usi k naam kyun kardi ...........
mujhe kuch aur karna tha ,mujhe kuch aur kehna tha
kaha us ne , na suni meri bas us ne kahi apni
use maaloom tha itna mujhe kuch aur kehna tha
aur dil mein tha pyar , nas nas mein
qurbat thi aapasme
use kuch aur sunna tha mujhe kuch aur kehna tha
kabhi tum mujh se jo poocho to ye tum ko bataTA hoon
mujhe tum se mohabbat hai mujhe bas itna kehna tha
Bewafa zamanay main, pyar dhoondanay walo
Meeti ki moorat main, bholi bhali soorat main
Pyar kaisay milta hai? Yeh to jaan lo pehlaye
Ro rahi hai shahnayii, bheer main hai tunhayii
Roknay say ruktey hain kab bhala woh herjayii
Rishtay kaachaye dhaagaye hain, yeh to maan lo pehlaye
Benaam logon kay kitnay naam hotay hain
Yeh b US ki qudrat kay kaisay kaam hotay hain
Kyon yeh aisay hota hai? Yeh to jaan lo pehlaye
Yeh to jaan lo pehlaye
Bewafa zamanay main, pyar dhoondanay walo
Meeti ki moorat main, bholi bhali soorat main
Pyar kaisay milta hai? Yeh to jaan lo pehlaye
agar mujhse mohobat hai toh mujhe sab apne gham de do
in aankhon ka har ek aasoon mujhe meri kasam de do
manzil-e-jaanaa.N ko jab ye dil ravaa.N thaa dosto
tum ko mai.n kaise bataa_uu.N kyaa samaa.N thaa dosto
har gumaa.N pahane hue thaa ek malbuus-e-yaqii.n
har yaqii.n jaa.N daadaa-e-husn-e-gumaa.N thaa dosto
dil ki har dha.Dakan makaan-o-laamakaa.N par thii muhiit
har nafas raaz-e-do_aalam kaa nishaa.N thaa dosto
kyaa Khabar kis justajuu me.n is qadar aavaaraa thaa
dil ke jo ganjiinaa-e-sarr-e-nihaa.N thaa dosto
Dhuu.NDhane par bhii na milataa thaa mujhe apanaa vujuud
mai.n talaash-e-dost me.n yuu.N benishaa.N thaa dosto
markad-e-iqbal par haazir thii jab dil ki ta.Dap
zindagii kaa ek pardaa darmiyaa.N thaa dosto
qarb ne paidaa kiyaa thaa Khud hii duurii kaa samaa.N
faasalaa varna haa_il kahaa.N thaa dosto
beKhudii me.n jab mere ho.nTo.n ne chuumaa qabr ko
mere siina se gadaa-e-fursiyaa.N thaa dosto
ruu-ba-ruu-e-jalvaa-e-markad vujuud-e-kam ayaar
zar-e-naaqis sharmasaar-e-imtehaa.N thaa dosto
partav-e-dil me.n nihaa.N thii tah-bateh ye Khaamoshii
ishq kaa vo bhii ik izhaar-e-bayaa.N thaa dosto
jalvaagaah-e-dost kaa aalam kahuu.N mai.n tum se kyaa
jalvaa hi jalvaa vahaa.N thaa mai.n kahaa.N thaa dosto
sajdagaah-e-Khurshiyaa.N thaa yaa.N na jaane kyaa thaa vo
jo merii nazaro.n ke aage aastaa.N thaa dosto
dil ne har lamhe ko dekhaa ik niraale rang me.n
lamhaa lamhaa daastaa.N dar daastaa.N thaa dosto
jis ke sher-o-naGmagii par vusat-e-aalam thii tang
har subah ko vo dopahre bekaraa.N thaa dosto
so rahaa thaa Khaak ke niiche jahaan-e-zindagii
raaz-e-hastii merii nazaro.n par ayaa.N thaa dosto
kaash tum bhii merii palko.n kaa nazaaraa dekhate
ye nazaaraa kahkashaa.N dar kahkashaa.N thaa dosto
Kabhi Socha Nah Tha Is Morh Peh Aa Jaoon Gi
Meray Jiwan Ki Siyah Raton Sey
Daaman Apna Main Chhurhaa Paoon Gi
Kitnay Tootey Huay Sapnay, Kai Be-Rang Khayaal
Unhein Main Jorh Nayaa Rang Bhi Dey Paoon Gi
Yaad-E-Maazi Sey Joh Wahshat Si Mujhay Hoti Hai
Uss Aziyat Sey Main Kab Tak Nikal Paoon Gi
Toonay Di Aas, Ummeedein Hain Bandhai Meri
Hosla Mujh Ko Diya, Phir Sey Hansee Khwabon Ka
Tu Agar Sath Mera Dey To Bharosa Hey Mujhay
Main Kahkashan Mein Sitaron Ko Bhi Choo Paoon Gi
Main Dard-O-Yaas Ki Duniya Peh Fatah Paoon Gi
Teray Dil Main Teray Jiwan Main Samaa Jaoon Gi
Tu Agar Sath Mera Dey To Bharosa Hey Mujhay
Baraso.N ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa
Ab zahan me.n nahii.n hai par naam thaa bhalaa saa
Abaruu khi.nche khi.nche se aa.Nkhe.n jhukii jhukii sii
Baate.n rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa
Alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar me.n
Ban jaaye jangalo.n me.n jis tarah raastaa saa
Khvaabo.n me.n Khvaab us ke yaado.n me.n yaad us kii
Niindo.n me.n ghul gayaa ho jaise ke rat_jagaa saa
Pahale bhii log aaye kitane hii zindagii me.n
Vo har tarah se lekin auro.n se thaa judaa saa
Agalii muhabbato.n ne vo naa_muraadiyaa.N dii.n
Taazaa rafaaqato.n se dil thaa Daraa Daraa saa
Kuchh ye ke muddato.n se ham bhii nahii.n the roye
Kuchh zahar me.n bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasaa
Phir yuu.N huaa ke saavan aa.Nkho.n me.n aa base the
Phir yuu.N huaa ke jaise dil bhii thaa aabalaa saa
Ab sach kahe.n to yaaro ham ko Khabar nahii.n thii
Ban jaayegaa qayaamat ik vaaqi_aa zaraa saa
Tevar the beruKhii ke andaaz dostii ke
Vo ajanabii thaa lekin lagataa thaa aashnaa saa
Ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
Naahaq thaa zo.Num ham ko jab vo nahii.n thaa pyaasaa
Ham ne bhii us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
Apanaa bhii haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa
KABHIE KABHIE TOW CHALAK PARTI HEIN YUNHI ANKHEIN
UDAAS HONAY KA KOI SABAB NAHI HOTA
KAYEE AMEERON KI KHOOBIYAN NA POCH K BUS
GHAREEB HONAY KA EHSAAS NAHI HOTA
MEIN WAALDEIN KO YEH BAAT KAISAY SAMJHAON
MOHABBATON MEIN HASAB AUR NASAB NAHI HOTA
WAHAN K LOG BOHUT DILFAREEB HOTAY HEIN
MERA BEHEKNA BHI KUCH AJAB NAHI HOTA
MEIN USS ZAMEEN KA DEEDAR KARNA CHAHTA HON
JAHAN KABHIE BHI KHUDA KA GHAZAB NAHI HOTA
koi dil se tera intezaar karti hai
aa bhi jaa ab eklamhe ke liye
ke woh khud ko beqaraar karti hai
taare bhi chamakkar doob chale hain
khatm ho chala raat ka dilkash samaan
hasraten yun dam tor rahi hain
yaaske toofaan mein ho jaise rawaan
tujhse phir bhi koi gila nahin hai
tere liye lab par shikwa nahin hai
kal phir yehi bezaar intezaar hoga
tere liye dil phir beqaraar hoga
chahe jitni nakaam meri wafa hai
tere liye mere lab par dua hai