Urdu Poetry Collection at Urdu Poetry/Shayari Forum

i Urdu Poetry


Funny Urdu Poetry| Sad Urdu Poetry| Urdu Shayari| Romantic Urdu Poetry| Urdu Love Poetry| Hindi Urdu Poetry


Search your favorite Urdu / Hindi Poetry from a huge collection of Urdu / Hindi Poetry.

 

Important : Please report Email by sending a message to Email. Please include the Posting poetry located in the lower right corner of each poetry. Thank you.

jalataa huun hijr-e-shaahid-o-yaad-e-sharaab mein
shauq-e-savaab ne mujhe Daalaa azaab mein

kahate hain tum ko hosh nahiin iztaraab mein
saare gile tamaam hu_e ek javaab mein

phailii shamiim-e-yaar mere ashk-e-surKh se
dil ko GAzab fishaar huaa pech-o-taab mein

rahate hain jamaa kuuchaa-e-jaanaan mein Khaas-o-aam
aabaad ek ghar hai jahaan-e-Kharaab mein

badanaam mere giriyaa-e-rusavaa se ho chuke
ab uzr kyaa rahaa nigaah-e-behijaab mein

matalab kii justajuu ne ye kyaa haal kar diyaa
hasarat bhii nahiin dil-e-naakaamayaab mein

naakaamiyon se kaam rahaa umr bhar hamen
pirii mein yaas hai jo havas thii shabaab mein

kyaa jalve yaaad aaye ke apanii Khabar nahiin
be-baadaa mast huun main shab-e-maahataab mein

paiham sajuud paa-e-sanam par dam-e-vidaa
"Momin" Khudaa ko bhuul gaye iztaraab mein
{category]

saaqiiyaa chhor na khaalii mere paimaane ko
itanii hii de de ke ho jaaaye qasam khaane ko

saaqii ye ahad-e-shikan is mein bigaranaa kaisaa
koii paimaan ko tore koii paimaane ko

kuchh to ho jaatii hai kam sifat-e-taubaa_shikanii
pii ke ham tor diyaa karate hain paimaane ko

jitane muunh utanii hii baaten hain barhe kyuun na junuun
sab ne diivaanaa banaa rakhaa hai diivaane ko



Added in: Sad Urdu Poetry
ahal-e-ulfat ke liye chaahiye shoharat ai dil
naam bikataa hai muhabbat ke khareedaaron kaa


Added in: Love Urdu Poetry
Teri Jabee'n pe likha tha k tu bhula de ga
so mai bhi bhanp gaya tha k tu bhula de ga

harr aik shakhs se larhta raha mai terey liye
harr ikk ne mujhsey kaha tha k tu bhula de ga

ye teri aankho'n mai halqey se parh gaye kaisey
mujhey tau tooney kaha tha k tu bhula de ga

nikal laya hai ilzam phir puraney tu
ye ham ne tai bhi kya tha k tu bhula de ga

kutch iss liye bhi k ikk till tha teri aankho'n mai
mujhey tau tabb bhi pata tha k tu bhula de ga


Added in: Sad Urdu Poetry
ek nazar dekh loon aajao saza se pehle
tumse milne ki tamanna hai khuda se pehle


Added in: Love Urdu Poetry
ungliya aj b ese soch me gum ha Faraz

us ne kese naye hath ko thama hoga!


Added in: Funny Urdu Poetry
merii zubaaN se merii daastaaN suno to sahii
yaqeeN karo na karo meherbaaN suno to sahii

chalo ye maan liyaa mujrim-e-mohabbat hain
humare jurm kaa hamse bayaaN suno to sahii

banoge dost mere tum bhii dushmanon ek din
merii hayaat kii aah-o-fuGaaN suno to sahii

labon ko sii ke jo baiThe hain bazm-e-duniyaa mein
kabhii to unkii bhii KhamoshiyaaN suno to sahii

kahoge waqt ko mujrim bharii bahaaron mein
jalaa thaa kaise meraa aashiyaaN suno to sahii


Added in: Urdu Shayari
Kuch to tanhai ki raato me sahara hota
Tum na hote na zikar tumara hota
Koi hamdard zamane me na paya mene
Dil ki hasrat hi rahi k koi to hamara hota


Added in: Romantic Urdu Poetry
Kismat do pal mein badal sakta he INSAN,
Per jo INSAN ko badal de wo kismat nahin hoti,

Apni kismat pe rota wohi shakhs hay jisko,
Sajdon me rone ki adat nahin hoti


Added in: Urdu Shayari
bohat khud par jabar kar ke

mohabbat ka safar kar ke

mita kar har khushi apni

usay paanay ki chahat mein

mohabbat ki musaafat mein

bas itna jaan paya hun

mohabbat maar deti hai


Added in: Urdu Shayari

Ek chehra jo mere khwab saja deta hai
Mujh ko mere hi khayalon mein sada deta hai

Wo mera kaun hai maloom nahi hai lekin
Jab milta hai to mera gham mita deta hai

Main jo kabhi toot ke bikhroon to wohi mujhko
Chahnay k liye apne haath barha deta hai

Main jo tanha kabhi chupkay se bhi rona chahun
Dil ke darwaze ki zanjeer hila deta hai

uski qurbat mein hai kya baat najana yaaro
Ik lamhe k liye sadiyon ko bhula deta hai


Added in: Sad Urdu Poetry

 

urdupoetry.com, hallagulla.com, urdumaza.com, urdupoint.com, besturdupoetry.com
urdupoet.net, shairy.com, poetryguru.com, shaairy.com, urdupoetry.org,